Index
1)
Taqleed ki taarif.
2)
MUJTAHID kisse kehte hai aur MUJTAHID ka lafzi mana kya hai????
3) Taqleed ka Suboot Quran shareef se.
4) Taqleed
ka Saboot Hadees shareef se.
5) Wahbi
ki kitaab se Taqleed ka saboot
6) Wahbiyo
Kay aqli aitrazat aur uske jawabat
7) Wahbi
Ki Taqleed.
8)
Challenge to all Wahbi
9) Masail
Wahbiyon kay liye
10) Wahbiyo
ki Jahalat
11) Wahbiyon
se 10 sawaalat jo bina Imam ki Taqleed kay Quran o Hadees ki roshni me saabit
kare
TAQLEED
Taqleed ki Definition:
1)
Zakir Naik: (A) Jo insaan
ki baat maankar aur us per amal kare hatta kay woh baat Quran o Hadees se takra
jaaye use Taqleed kehte hai.
(B) Quran o Hadees se hawala milne kay
bawajud agar koi Quran o Hadees ko Nai manta aur us shaks ko manta hai toh use
Taqleed kehte hai.
Is video per Zakir naik ki
Definition khud gaur se sune.
Zakir Naik kay mutabik kya 4 Imam Quran O Hadees se hatkar
koi faisla dete the ya apne Qayas se faisla dete the????
2)
Maulvi Talib ur rehman: NABI
Sallallahualaihiwasallam ki Hadees ko taweel karo or kehdo sahi hadees mansukh,
Imam kay Qaul ko Bada karo or Hadees ko piche kardo.Yeh Taqleed hai.
Is video per Dekhe Maulvi Talib ur
rehman ne kya kaha
Yeh hai Wahbiyo ki ilmi salahiyat kay jise
Taqleed ka sahi maana hi nahi pata woh kehte hai Taqleed Haram hai,Shirk
hai,Biddat hai.Aur kamal toh yeh hai ki inhe
pata hi nahi ki Taqleed kya hai,kisi kay nazdeek Shirk toh kisi kay Biddat toh
Kisi kay Haram.Yeh Khud apne aap me confused hai.
Taqleed ka Lafzi maana hai : Qulaada.
Taqleed ka istilahi maana kya hai :
1)
Imam Ghazali apni kitaab
Al-Mustasfa jild 2 Page 387 per likhte hai “Taqleed yani bina kisi kay Qaul ko
bina hujjat bina Dalil maanlena”
2)
Allama shareef jirjani ne At-Taarifat
page 97 per likhte hai “Taqleed Yani Hujjat o Dalil kay bagair bina kisi dalil
kay baat maanlena”
3)
Taqleed woh jo Mujhtahid ki
baat maanle bina kisi Dalil kay [Tazeeb, by
Imam-Nawai and Irshaad-ul-Fahool by Qadhi Shawkani].
Taqleed kisme ki jaati hai???
Jawaab: Taqleed Aqaid me nahi balke
Fiqh o Masail me ki jaati hai.
Is point ko Yaad rakhe kyuke aage
chalkar Wahbi ki Taqleed saabit karna hai.
Taqleed Karte Kab hai??
Jawaab: Jab koi Aqwal Quran o
Hadees me na ho us masail ko jaanne kay liye karte hai.
Taqleed Kiski Hoti hai??
Mujhtaheed ki Taqleed ki jaati hai.
MUJTAHID kisse kehte hai aur MUJTAHID ka lafzi mana kya hai ????
Mujtahid
ka matlab hota hai Koshish karne wala yeh lafzi maine hai
Shara
mai mujtahid woh hai jismai ilmi liyaqat aur kabiliyat is qadar ho ki Quraani
isharaat ko samaz
sake
aur Qalam ke maqsad ko pahechaan sake aur ismai se masail nikal sake, Nasikh
aur Mansukh ka
pura
ilm rakhta ho, Ilm e sarf, Nahw wa balagat wagaira mai usko puri maharat hasil
ho, Ahkaam ki
tamam
ayaton aur ahadees par uski nazar ho joh is darja par pahucha woh mujtahid hai
aur
mujtahid
ke 6 tabke hai
1)
Mujtahid fisshara: Woh Hazraat Hai Jinhone ijtihaad karne ke qawaid banaye
jaise charo
Imaam,
Imaame Azam abu Hanifa, Imaam Shafai,Imaam Malik, Imaam Ahmad Bin Hamble
RadiAllahu
Anhum Azmaeen,
2)
Mujtahid filmazhab: Woh hazraat hai joh masaile sharaiya furuiya khud nikal
sakte hai jaise
Imaam
Abu Yusuf, wa Imaam Muhammed, wa Imaam Ibne Mubarak Rehmatullah Azmaeen ki
yeh
qawaid mai Hazrat Imaam e Azam ke muqallid hai aur masail mai khud Mujtahid,
3)
Mujtahid filmasail: Woh hazraat hai joh qawaid aur masail e furuiya dono mai
muqallid hai magar
woh
masail jinke mutalliq Aimma ki wajahat nahi milti unko Quraan wa Hadees wagaira
dalail se
nikal
sakte hai jaise Imaam Tahawi Aur Qazi Khan,Shamshul Aimma Sarkhasi wagaira,
4)
Ashabe Takhriz: Woh hazraat hai joh ijtihaad toh bilkul nahi kar sakte haan
Aimma me se kisi
ke
mukhtasar qaul ki tafseel farma sakte hai jaise Imaam Qarkhi wagaira,
5)
Ashabe Tarjih: Woh hazraat hai joh Imaame Azam ki chand riwayat mai se baaz ko
tarzih de
sakte
hai jaise kisi mas'ala mai Imaam e Azam ke do qaul riwayat mai aaye toh unmai
kisi ko tarzih
den
yeh woh karsakte hai jaise Sahibe Quduri Aur Sahibe Hidaya,
6)
Ashabe Tamiz: Woh hazraat hai joh zahir mazhab aur riwayaten nadirah isi tarah
qaule
zaeef
aur qawi aur jiyada mazbut me fark kar sakte hai ki aqwaal e rad shuda aur
riwayat e
zaeefa
ko tark karde aur sahi riwayat aur moatbar qaul ko len jaise sahibe qanz aur
sahibe durre
mukhtaar
wagaira...
jinmai
in 6 wasfo mai se kuch bhi na ho who muqallid hai jaise is zamana ke aam ulama
unka
sirf
yahi kaam hai ki kitab se masail dekh kar logo ko batayen....Wallahu T'aala
Aalam
Mujhtahid ko kisi ki Taqleed karna
Jaiz nahi aur nahi Gair mujhtahid ki Taqleed ki jaati hai.
Gair Mujhtahid ko Mujhtahid ki
Taqleed karna Wajib hai.
Taqleed ka
Suboot Quran shareef se :
Aayat # 1
Surah Al-Fatiha Aayat no.5-6
Tarjuma
: ہم کو سیدھا راستہ چلا (5)
راستہ ان کا جن پر تو نے احسان کیا (6)
Is aayat se per zara gaur o fikr kare ki
Quran shareef me Surah Fatiha me hi ALLAH se dua ki jaati hai ki “Hume Sidha
Rasta chala,Rasta unka jisper tune ehsaan(inaam) kiya.Ab Dekhte hai ALLAH taala
kis per ehsaan(inaam) kiya jinke raaste per chalne ka Hukum diya gaya.iska
Jawaab dusri aayat me padhe
Aayat # 2
Surah Nisa Aayat no. 69
Tarjuma
: اور جو اللّٰہ اور اس کے رسول کا حکم
مانے تو اُسے ان کا ساتھ ملے گا جن پر اللّٰہ نے فضل کیا یعنی انبیاء (ف۱۸۱) اور صدیق (ف۱۸۲) اور شہید (ف۱۸۳) اور نیک لوگ (ف۱۸۴) یہ کیا ہی اچھے ساتھی ہیں
Is aayat se pata chala ki ALLAH taala ne
“Ambiya aur Siddique aur Shaheed Aur nake log” in per ALLAH ne Ehsaan(Inaam)
kiya.Ab gaur kare ki ALLAH taala ne khud Taqleed kay bare bata diya ki Ambiya
kay raste per chala aur Siddiquin se muraad Sahaba e kram hai jaise Hazrat Abu
Bakar Siddique aur shauhda kay raaste per chala aur Nake Log(Saleheen) per
chala.Toh inke raaste per chalne ka Hukum ALLAH ki taraf se hai aur jo kehte
hai Humare Imam sirf NABI sallallahualahiwasallam aur hum unke hi raste per
chalege aur baaki Biddat,shirk,Haram hai woh bataye ki Jahannam me kaha thikana
banana chahte hai.Wahbiyo’n kay nazdeek NABI Sallallahualaihiwasallam kay raste
per chalna hai baki biddat,haram,Shirk aur yaha ALLAH taala khud Quran me zahir
farma diye ki kis kay raste per chalna hai aur inka raasta NABI
Sallallahualaihiwasallam se juda bhi nahi.Ya fir yeh wahbi saabit kare ki yaha
“Siddiquin,Saleheen,Shauhda” se Muraad kaun kaun hai.???
Gaur kare Surah Fatiha Har namaz me
padhte hai toh wahbi namaz me kehte hai “hume us raaaste per chala jis per tune
inaam kiya aur bahar kehte hai hum toh itteba karte hai NABI
Sallallahualaihiwasallam ki or kisi ki nahi.toh goya yeh jhut kehte hai humse
or humse nahi toh MAZ ALLAH ALLAH taala se jhut kehte hai warna is aayat me
siddiqueen,saleheen se murad kya hai???
Aayat # 3
Surah Luqman Aayat no. 15
Tarjuma
: اور اگر وہ دونوں تجھ سے کوشش کریں کہ
میرا شریک ٹھہرائے ایسی چیز کو جس کا تجھے علم نہیں (ف۲۱) تو ان کا کہنا نہ مان (ف۲۲) اور دنیا میں اچھی طرح ان کا ساتھ دے
(ف۲۳) اور اس کی راہ چل جو میری طرف رجوع
لایا (ف۲۴) پھر میری ہی طرف تمہیں پھر آنا ہے تو
میں بتادوں گا جو تم کرتے تھے (ف۲۵)
Is aayat me ALLAH taala ne “uski raha
chal jo meri taraf ruju liya” . Bataye kisne ruju liya.
Upar jo mene Video ki link di hai Usme
ZAKIR NAIK ka kehna hai ki Quran me Aimma ullema ka zikr hi nahi hai toh
wahbiyo’n se sawaal hai ki yaha RUJU KISNE KIYA?????
Aayat # 4
Surah Nisa aayat no. 59
Tarjuma
: اے ایمان والو حکم مانو اللّٰہ کا اور
حکم مانو رسول کا (۱۶۷) اور
ان کا جو تم میں حکومت والے ہیں (۱۶۸) پھر
اگر تم میں کسی بات کا جھگڑا اٹھے تو اُسے اللّٰہ اور رسول کے حضور رجوع کرو اگر
اللّٰہ و قیامت پر ایمان رکھتے ہو (۱۶۹) یہ بہتر ہے اور اس کا انجام سب سے اچھا
Is aayat me khule Alfaz hai ki “A imaan
walo Hukum maano ALLAH ka aur Hukum maano Rasul Sallallahualaihiwasallam ka aur
unka jo tumme Hukumat wale hai(Arbi lafz hai “Uleel amri minkum” ) is aayat me bhi
Imam kay bare likha hai. “Uleel amri minkum” se muraad ullema hai aur is per
ijma hai.
Imam Hakim apni Hadees Mustdarak
Al-Hakim Hadees no. 422 per likhte hai “Uleel amri minkum” se muraad Aimma hai.Scan
page niche dekhe hai.
Front page : Scan page :422
Zoom Hadees no. 422.
Isi Hadees ko Tafsee Jareer Jild 5 page no. 88 me Ibn Jareer
ne Naqal kiya hai.
Aur isi hadees ko Imam Darmi ne :
Sunan Darmi Jild 1 Page no. 127 , Hadees no. 225.
Imam Darmi jo Imam Bukhari,Imam Muslim aur Imam Abu Dawood
kay Ustaad hai unhone Baab Qayam kiya “Al-Iqtadaye al Ullema” aur yehi Hadees
us baab me likhi hai.
Wahbi ki apni kitaab se hawala “Uleel amri minkum” se muraad
Ullema hai jiska scan page niche hai.
Scan page:
Aayat # 5
Surah Ambiya aayat no. 7
Tarjuma
: اور ہم نے تم سے پہلے نہ بھیجے مگر
مرد جنہیں ہم وحی کرتے (ف۱۳) تو
اے لوگو علم والوں سے پوچھو اگر تمہیں علم نہ ہو(ف۱۴)
Is aayat me fir saaf Alfaz hai “Ilm walo se pucho agar tumhe
ilm naho” aur yaha Ilm walo se muraad Alim hai ullema hai.
Tafseer Khaizan ul irfan : Is ayat me Taqleed wajib ka hukum hai.
Tafseer e Khazin : Is aayat me ilm walo’n se Muraad Aimma
Imam hai.
Aayat # 6
Surah Bani Israel aayat no. 71
Tarjuma : جس دن ہم ہر جماعت کو اس کے امام کے ساتھ بلائیں گے (ف۱۵۹) تو جو اپنا نامہ داہنے ہاتھ میں دیا
گیا یہ لوگ اپنا نامہ پڑھیں گے (ف۱۶۰) اور
تاگے بھر ان کا حق نہ دبایا جائے گا (ف۱۶۱)
Is aayat me “jis din hum har Jamaat ko us kay Imam kay saath
bulayege” Yaha Imam se muraad “Jiska who Duniya me itteba karta tha” Hazrat Ibn
Abbas radialla taala anhuma ne farmaya isse who Imam zama’an muraad hai jiskay
daawat per Duniya me log chale khwa isne HAq ki daawat ki ho ya Baatil ki : Tafseer
Khaizan ul irfan.
Ab Agar wahbi
kahege ki humare imam NABI Sallallahualaihiwasallam hai toh yehi wahi Ibn
taymiyah kay aage ALLAMA IMAM IBN TAYMIYAH kyu likhte hai?? Kya NABI ka martaba
ibn taymiyah kay liye bhi maante hai kya????
Tafseer Rooh
ul Bayan me is aayat kay tahet hai ki Qayamat kay din jab log apne Imam kay
naam se bulaye jayege toh Aawaz di jayegi”O Hanafi , O shafee” toh isse pata
chala ki qayamat kay din sabko Imam kay naam bulaya jayega “O Hanfi,O shafee,O
maliki,O Hanmbli” ab jiska koi Imam hi nahi waha per Iblees aur uskay saathi
aayege.
Taqleed ka Saboot Hadees shareef se:
Hadees #
1.
Sunan Abu
Dawood Hadees no. 3592.
كتاب الاقضية
قضاء کے متعلق احکام و مسائل
باب اجتهاد الراى في القضاء
باب: فیصلہ کرنے میں اجتہاد اور رائے
سے کام لینا۔
حدیث نمبر : 3592
حدثنا حفص بن عمر، عن شعبة،
عن ابي عون، عن الحارث بن عمرو بن اخي المغيرة بن شعبة، عن اناس،
من اهل حمص من اصحاب معاذ بن جبل ان رسول الله صلى الله عليه وسلم لما اراد ان
يبعث معاذا إلى اليمن قال "كيف تقضي إذا عرض لك قضاء ". قال اقضي
بكتاب الله . قال "فإن لم تجد في كتاب الله ". قال فبسنة رسول الله صلى الله عليه
وسلم . قال "فإن لم تجد في سنة رسول الله صلى الله عليه وسلم ولا في كتاب
الله ". قال اجتهد رايي ولا آلو . فضرب رسول الله صلى الله عليه وسلم
صدره وقال "الحمد لله الذي وفق رسول رسول الله لما يرضي رسول الله
".
سیدنا معاذ بن جبل رضی اللہ عنہ کے
بعض اصحاب نے روایت کیا جو اہل حمص میں سے تھے کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے
جب ارادہ فرمایا کہ سیدنا معاذ رضی اللہ عنہ کو یمن بھیجیں تو آپ صلی اللہ علیہ
وسلم نے پوچھا ”جب کوئی مقدمہ تمہارے سامنے پیش ہو گا
تو فیصلہ کیسے کرو گے؟“ انہوں نے کہا: میں اﷲ کی کتاب سے فیصلہ کروں گا۔ آپ صلی اللہ
علیہ وسلم نے فرمایا ”اگر کتاب اﷲ میں نہ ملا تو؟“ کہا کہ پھر رسول اللہ صلی اللہ علیہ
وسلم کی سنت سے۔ فرمایا ”اگر رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کی سنت اور کتاب اﷲ میں بھی
نہ ملا تو؟“ کہا کہ میں اپنی رائے استعمال کرنے میں کمی نہیں کروں گا۔ تو رسول اللہ
صلی اللہ علیہ وسلم نے ان کا سینہ تھپکایا اور فرمایا ”حمد ہے اس اﷲ کی جس نے رسول اﷲ کے
پیامبر کو اس بات کی توفیق دی جس پر اﷲ کا رسول خوش ہے۔“
Yehi Hadees
Sunan Darmi
Jild 1 Hadees no. 170
Sahi Muslim
Jild 1 Hadees no. 124
Mua’jame
Kabir by Imam Tabrani Hadees no. 362
Imam Tirmizi
ne Tirmizi shareef Hadees no.1327
Per Darj ki
hai.
Is Hadees se
saaf Maalum hota hai ki Sarkar Sallallahualaihiwasallam ne Hazrat Muaz
radiallataala anhu ki Taqleed karne hukum diya Yemen walo ko.aur is hadees se
pata chala ki Agar Masla Quran o Hadees me na mile toh Hazrat Muaz ne apni rai
se faisla lene ka kaha jisse Sarkar sallallahualahiwasallam Khush hue aur aapke
seene per haath maara aur dua farmai.aur is hadees se saabit hua ki jo Ijtihad
karte hai who mujhtahid hota hai jise har chiz ka ilm o umoor haasil ho aur
ALLAH taala uskay Dil me masle ka hal bhi daal deta hai.Subhan ALLAH.
Hadees #
2
Sunan Abu
Dawood Hadees no. 4607.
سنن ابوداود
كتاب السنة
سنتوں کا بیان
باب في لزوم السنة
باب: سنت کا اتباع واجب ہے۔
حدیث نمبر : 4607
حدثنا احمد بن حنبل، حدثنا الوليد
بن مسلم، حدثنا ثور بن يزيد، قال حدثني خالد بن معدان، قال حدثني عبد
الرحمن بن عمرو السلمي، وحجر بن حجر، قالا اتينا العرباض بن سارية وهو ممن
نزل فيه {ولا على الذين إذا ما اتوك لتحملهم قلت لا اجد ما احملكم عليه }
فسلمنا وقلنا اتيناك زائرين وعائدين ومقتبسين . فقال العرباض صلى بنا رسول الله
صلى الله عليه وسلم ذات يوم ثم اقبل علينا فوعظنا موعظة بليغة ذرفت منها العيون
ووجلت منها القلوب فقال قائل يا رسول الله كان هذه موعظة مودع فماذا تعهد إلينا
فقال "اوصيكم بتقوى الله والسمع والطاعة وإن عبدا حبشيا فإنه من يعش منكم
بعدي فسيرى اختلافا كثيرا فعليكم بسنتي وسنة الخلفاء المهديين الراشدين تمسكوا بها
وعضوا عليها بالنواجذ وإياكم ومحدثات الامور فإن كل محدثة بدعة وكل بدعة ضلالة
".
جناب عبدالرحمٰن بن عمرو سلمی اور حجر
بن حجر کا بیان ہے کہ ہم سیدنا عرباض بن ساریہ رضی اللہ عنہ کی خدمت میں حاضر ہوئے
جن کے بارے میں یہ آیت کریمہ نازل ہوئی تھی «ولا على الذين
إذا ما اتوك لتحملهم قلت لا اجد ما احملكم عليه» ”ان لوگوں پر کوئی گناہ نہیں کہ جب وہ
آپ کے پاس آئے کہ آپ انہیں سواری دیں، آپ نے کہا کہ میرے پاس کوئی چیز نہیں، تو وہ
اس حال میں لوٹ گئے کہ ان کی آنکھیں، اس غم سے آنسو بہا رہی تھیں کہ انہیں کچھ
میسر نہیں جسے وہ خرچ کریں۔“ ہم نے انہیں سلام کیا اور عرض کیا: ہم آپ سے ملنے کے لیے آئے ہیں اور یہ
کہ آپ کی عیادت ہو جائے اور کوئی علمی فائدہ بھی حاصل کر لیں، تو سیدنا عرباض رضی
اللہ عنہ نے بیان کیا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے ہمیں ایک دن نماز
پڑھائی، پھر ہماری طرف منہ کر لیا اور وعظ فرمایا، بڑا ہی بلیغ اور جامع وعظ، ایسا
کہ اس سے ہماری آنکھیں بہہ پڑیں اور دل دہل گئے۔ ایک کہنے والے نے کہا: اے اللہ کے
رسول! یہ تو گویا الوداعی وعظ تھا، تو آپ ہمیں کیا وصیت فرماتے ہیں؟ فرمایا ”میں تمہیں وصیت
کرتا ہوں کہ اللہ کا تقویٰ اختیار کیے رہنا اور اپنے حکام کے احکام سننا اور
ماننا، خواہ کوئی حبشی غلام ہی کیوں نہ ہو۔ بلاشبہ تم
میں سے جو میرے بعد زندہ رہا وہ بہت اختلاف دیکھے گا، چنانچہ ان حالات میں میری
سنت اور میرے خلفاء کی سنت اپنائے رکھنا، خلفاء جو اصحاب رشد و ہدایت
ہیں، سنت کو خوب مضبوطی سے تھامنا، بلکہ ڈاڑھوں سے پکڑے رہنا، نئی نئی بدعات و
اختراعات سے اپنے آپ کو بچائے رکھنا، بلاشبہ ہر نئی بات بدعت ہے اور ہر بدعت
گمراہی ہے۔“
Yehi Hadees
Mishkat shareef jild 1 Hadees no.
157
Musnad Ahmed Jild 4 page no.127
Trimizi shareef Hadees no. 2678
Sunan Darmi jild 1 Hadees 96.
Imam Hakim AL-Mustadarak jild 1 page
164 Hadees 129.
Yeh Hadees se saabit hai ki Sarkar
Sallallahualaihiwasallam ne farmaya ki “bilshuba tum me se jo mere baad zinda
raha woh bahut ikthelaaf dekhega,chunanche in haalat me meri Sunnat aur mere
Khalifa ki sunnat apnaye rakhna”in alfaz se saaf pata chata hai ki sarkar ne
apne khalifa ki Taqleed ka Hukum diya kay mera baad jab ikhtelaaf aaye toh mere
khalifa ki bhi sunnat apnaye rakhna.Aapko pata tha ki aapke baad ikhtelaaf aayege
jiska sabot Quran o Hadees me na hoga isliye aapne yaha khalifa ki pairwi kay
liye kaha.
Hadees #
3
Jame tirmizi
shareef jild 2 Kitabul manaqib Hadees no. 1597
Baab :
MAnaqib e Hazrat Abu bakar siddique radiallataala anhu.
Hazrat
Huzaifa radiallataala anhu se riwayat hai farmate hai hum NABI e karim
Sallallahualaihiwasallam kay paas baithe hue the kay aapne farmaya me (apne
aap) nahi jaanta kay kitne mudday tumhare darmiyan rahuga mere baad kiski
pairwi karoge itna farmakar aapne Hazrat Abu bakar siddique radialla taala anhu
ki taraf ishara kiya.
Scan page of
Hadees :
Is Hadees ko
Ibn majah
jild 1 Babul qadar Hadees 97.
Musnad Ahmed
jild 5 page 385 Hadees no. 23324
Ibn Habban
apni Sahi me Hadees no. 6902.
Imam Ibn Abi
shayba ne Al-Musannaf jid 7 page 433 Hadees no. 37049
Imam Tabrani
Majamul Ausat jild 4 page 140 Hadees no. 3816
Imam Abu
Noyam ne Hilyatul Auliya jild 9 page 109 per yehi Hadees nakal ki hai.
Isse bhi
Taqleed saabit hai ki agar Quran o Hdees hi kaafi hai toh sarkar ne Hazrat Abu
Bakar siddique ki taraf ishara kiya aur pairwi karne ka hukum diya auris per
sahaba e kram ne aisa q nahi kaha “YA RAsul ALLAH hume aapki Sunnat o Quran hi
kaafi hai” lekin yaha per Sahaba e kram khamosh rahe.
Hadees #
4
Mishkat Shareef
Jild 3 Kitabul Fit’an Hadees no. 5762.
Hazrat Umar
radiallataala anhu se riwayat hai kay mene Rasul ALLAH Sallallahualaihiwasallam
ko farmate hue suna mene apne rab se apne sahaba kay ikhtelaf kay mutaliq
sawaal kiya jo mere baad hoga meri taraf wahi farmai kay a mohammad! tumhare
sahaba mere nazdeek aasman kay taro ki tarah hai jab kay baaz baaz se qawi hai
lekin sab noorani hai.apne ikhtelaf woh jis maukuf per hai un me se jo kisi ko
ikhtiyar kare who mere nazdeek hidayat per hai.Rawi ka bayan hai ki Rasul ALLAH
sallallahualahiwasallam ne farmaya mere sahaba taaro’n ki tarah hai.unmese
jiski pairwi karoge toh hidayat hi paoge.
Is Hadees ko
Sunan e
Kubra jild 1 page 162 Hadees no. 152
Imam Dailhvi
ne Masnadul firdaus jild 4 page 160 Hadees 6497
Imam Zahabi
ne Mizamul Atedal jild2 page 142
Imam Khatib
Baghdadi “Al-Kifaya” jilg 1 page 48
Imam ibn
qadama Hanmbali rehmutalla alaih ne Al-Mughni jild 3
Ibn Kaseer
ne “Tu’hfatut Talib” jild 1 page 45 per nakal kiya hai.
Hadees #
5
Mishkat
shareef Jild 1 Hadees 182
Hazrat
Abdullah ibn masud radiallataala anhu jo ek Faqih Sahabi hai aapse riwayat hai
“ A logo tum chahte ho ki Hidayat per raho toh unke raaste apnao jo inteqaal
hochuke hai aur zindo per fitno ka andesha hai.
Niche me
puri Hadees darj hai : Scan page
Jo inteqaal
kargaye woh Hidayat per hue aur zindo per fitno ka andesha hai,Hadees se saabit
hai.Ab Ahle Hadees ko chahiye ki woh Imam ka raasta apnaye jo Hidayat per
inteqaal hue.unhe apne Maulvi ullema ko choddena chahiye Hadees per amal karte
hue.
Hadees #
6
Sunan Darmi
me Imam Darmi ne yeh Hadees likhi hai “ Hazrat Abu Darda se riwayat hai k “A
logo agar ullema kay aqwal na hote toh hum sab Hidayat hasil na karsakte the”.
Is hadees se
saabit hai gaur kare : Hazrat Abu Darda kaun hai??? Sahabi e Rasool hai aur is
Hadees kay mutabik Hazrat Abu darda ko bhi apne e zyada ilm walo ki zarurat
hai,unki Taqleed karte,lekin wahbi kehte hai hum Taqleed nahi karege toh in
wahbi ko Sahaba se zyada ka ilm hai????
Yeh Woh
Hadees hai jisse TAQLEED ka sabot milta hai aur Sahaba ko bhi Taqleed ka Hukum
mila.
Wahbi ki kitaab se
Taqleed ka saboot
1 ) Ibn
Qayum Jawzi student of Ibn Taymiyah.
Front cover
:
Scan page :
Inhone baab
qayam kiya hai ki “Sahaba radiallataala anhum me se Mufti Hazraat” are jab
Taqleed hi nahi karni toh sahaba me se Mufti Hazrat ki kya zarurat padgai???
Fatwa dete the iska matlab kuch log inki Taqleed karte the jabhi toh Fatwa dete
the warna Quran shareef kaafi na thi in sahabiyo’n ko??? Aur inhone kuch sahaba
kay naam bi ginaye hai gaur kare scan page per.
2) Same kitaab ka Hawala
hai jo upar diya hai sirf safa change hai jiska scan page niche hai. Jild 1
safa 41.
Imam Ahmed bin hanmbal ki taarif likhkar kya likhte hai zara gaur farmale.aapke
Fatwe kitne the aapki kitabe kitni thi sab likha hai.Wahbiyo’n jab tumhe
Taqleed hi nahi Karni toh Fatwo se kya muraad hai????? Imamo’n ki kitaab se kya
karna hai???? Tumhare nazdeek sirf do hi kitaab honi chahiye 1) Quran shareef
2) Hadees Sahi sitta. Isse zyada kyu padhte ho. Aur Imam Ahmed bin Hanmbal ne
itni kitabe likhi Fatwe likhe iska matlab hai ki us zamana me bhi Taqleed ka
saboot tha lekin ALBANI kay aate hi aitraaz shuru hogaye.isse pehle kisi ka
aitraaz koi bata sakta hai??? Aur is Ibarata me Taqleed kay bare bhi likha hai.
“yaha tak un kay mazhab kay mukhalif
un kay siwa aur ki Taqleed karne wale bhi un kay qalaam aur un kay fatwo
ki izzat wa azmat karte hai” yeh line upar scan page me hai.
3 ) Front cover : same book hai jiska hawala upar diya hai “ilamul muaqin”
sirf safa chane hai jiska scan page niche hai.
Scan page : jild 1 safa 41.
“Chinanche aap ne apne baaz shagirdo’n se farmaya bhi hai kay
jis masle me tumhara koi imam na ho khabardaar use zabaan se na nikale”
Isse muraad kya hai?? Taqleed ka Hukum hai ki nahi???Wahbi
Bolta hai Magar samajta nahi.aur yaha aap se murad Hazrat Imam Ahmed bin
Hanmbal hai.jab waqt kay bade Imam kehrahe hai ki masle me imam ka hona zaruri
hai lekin juma juma 8 din wale wahbi Maulvi jo hafte bhar me mujhtahid hojaate
hai who inhi imam per bohtaan lagate hai jaise “Imam Abu hanifa ka fala qaul
sahi nahi unhone galti kardi” etc etc.
4 ) Ab yeh kitaab jo me niche duga who kitaab SAUDI se chapi
hai “Lama tul Atiqaad”
Front cover :
Scan page : safa no. 26.
Kehte hai “ Imam Auzai radialla taala anhu , ALLAH un se raazi
hua,Farmate hai kay aasar e salf ki pairwi karo agarche log tumhe chodde aur
logo’n ki zaati aara se bacho agar che log ise muzaiyan karke kyu na pesh
kare”.
Kya kehte hai isme ki agarche log tumhe chodde lekin tum salf ki pairwi
na chodo aur logo ko zaati aara se se bacho yaani aaj kal jhute wahbi jo apne
aapko mujhtahid samajte hai inki rai se bacho.yaha Bhi Taqleed ka hukum hai
Wahbi book se aage dekhe.
5 ) Same kitaab “Lama tul Atiqaad” safa 82 per dekhe.
Scan page :
“Al batta furoi masail me kisi Imam ki taraf nisbat karna maslan charo
faqhi mazahib me kisi ki taraf mansub hona,toh yeh mazmoon nahi kyuke furoi
masail me ikhtelaf rehmat hai.
Isse bhi Taqleed ka khuli ibarat hai aur Taqleed kitno ki honi chahiye
who bhi zaahir hai.
Wahbiyo Kay aqli aitrazat aur uske
jawabat
1) Sahaba e kram ne
Taqleed kyu nahi ki.
Jawaab : a) Sahaba e
kram jab Direct NABI Sallallahualaihiwasallam se masla hal karwate the toh unhe
Taqleed ki kya zarurat.
b) Hadees se iska Jawaab talab karte hai :
Hazrat Umar radiallataala anhu se marwi hai “A logo tummese
jo chahta ho Quran kay bare me jaane toh usko chahiye kay Hazrat Ubai ibn kaab
radiallataala anhu ki taraf ruju kare,aur jo tumme chahta hai ki faraiz kay
bare me malumat hasil kare toh use chahiye Hazrat Zaid ibn saabit radialla
taala anhu ki taraf ruju kare aur tumme jo chahta hai Fiqha kay masail puche
toh usko chahiye ki Hazrat Muaz ibn jabal ki taraf ruju kare aur tumme jo
chahta hai kay who mashiyat kay bare me janna chahta hai toh usko chahiye meri
taraf ruju kare.Beshak ALLAH taala ne mujhe khazane ka muhafiz banaya aur me us
khazane ka taqseem karne wala hu.
Ref : Al-Musannaf Ibn Abi shaiba jild 6 page 454 Hadees no.
32896.
Sunan e kubra jild 6 page 210 Hadees no.11969.
Hakim (Al-Mustadarak) jild 3 page 306 hadees 8191.
Tafseer qurtubi jild 18 page 20.
Is Hadees se
saaf zaahir Taqleed kay bare ki Quran kay bare janna hai toh fala sahabi kay
paas jaye,Fiqha kay bare janna hai toh fala sahabi kay paas jaye,mashiyat kay
bare janna hai toh mere paas aaye.Agar Taqleed ka hukum na hota toh sahaba e
kram kehte ki Hum toh Quran o behter samajte hai hum chahe toh Direct NABI
Sallallahualaihiwasallam se puch sakte hai.lekin aisa nahi hua.Hazrat Umar radiallataala anhu
se kisi ne aisa nahi kaha ki iski zarurat kya hai hum toh direct kam le sakte
hai.
Iska matlab
yeh hai ki Sahaba e kram me ek jamat aisi thi jo itna ilm na rakhti thi aur
apne e zyada Alim o ilm walo ki taraf ruju karti thi.
2) Sahaba e kram
kay zamana me na koi Hanfi tha, Na shafae tha,Na Maliki,Na Hanmbali tha yeh
baad ki paidawar hai yeh Biddat hai.
Jawaab: Humne apne aapko Hanfi kaha toh apne hume Biddati
kehdiya,isi tarah Shafee,maliki,Hanmbli kaha toh aapne biddati kehdiya..Sirf ek
baat batao Wahbio..kaun se sahaba e kram ne apne aako SALAFI kaha hai???? Kabhi
kisi ne naam suna Hazrat Abu bakar siddique salfi,Hazrat Usman gani
salfi,Hazrat Umar e Farooq salfi,Hazrat Maula Ali Salfi,kisi ne suna hai kya
aisa naam???? Yeh biddat nahi toh fir Biddat kya hai.aur salafi kay maana hai
Salaf kay raste per chalne wala..yeh sabse ajeeb baat hai ki jab kisi Imam kay
piche nahi chalna toh salfi kaise???? Kyuke wahbi toh direct NABI
Sallallahualaihiwasallam ki itteba karne ka daawah karte hai lekin dusre muh
salaf ki pairwi karte hue salafi kehte hai apne aapko.bada hi ajeeb mamla hai..
Sahaba e kram kay zamane me toh Hadees ki kitaabe bhi na thi
fir kisne authority di kay tum Quran shareef kay baad Bukhari, Muslim, Abu
Dawood etc etc in Hadees per amal karo???? Aur yeh kisne kaha ki Bukhari ko
pehla no. dusra Muslim ko ,teesra Abu dawood ko ,chautha Tirmizi ko, panchwa
per Nisai ko aur chate per Ibn Majah ko rakho…yeh tarteeb banana kay liye kaun
se sahabi ne bola ya wahbiyo’n per wahi utri thi???? Yeh bhi toh biddat hai.
3 ) Imam Abu Hanifa se pehle log kiski Taqleed karte the??
Jawaab: Me Wahbiyo se puchta hu ki Bukhari shareef se pehle log kis
kitaab ko padhte the???? Bukhari shareef ko Quran kay baad mautabaar maanlo yeh
kisne kaha??jabke Bukhari shareef se pehle bhi kai kitaabe likhi gai jaise
Muwatta Imam Malik , Musnad Ahmed bin Hanmbal , Musannaf Abdur razzaq , Sunan
Darmi etc toh wahbiyon ne inkitaab ko chodkar Bukhari shareef ko kyu
pakadliya???
4 ) Imam Abu Hanifa kay Walid kiski Taqleed karte the ???
Jawaab : Hadees me Bukhari se pehle kis kitaab ko maante the?? Aur
Bukhari shareef se pehle koi kitaab maante the toh us kitaab ko kyu choda??
Sidhi si baat hai Imam Abu Hanifa Tabae the aur NABI Sallallahualaihiwasallam
ne 3 Daur bataye “khair ka Daur” Taabi Direct Sahabi se riwayat lete the aur
Sahabi Direct NABI Sallallahualaihiwasallam se riwayat lete the aur Imam Abu
Hanifa kay walid toh Hazrat Ali ki bargah me bhi Haazir hua karte the.jiska
hawala hai .
3)Imam
Hajar al-Asqalani in Tahdhib ut Tahdhib, Volume No.10, Page No. 401(Online) and
Volume 10, Page 449 Click
Here for Scanned Page (210)
4)
Imam Nawawi, Tahdhib al-Asma', Narrator no: 771, page 376
Toh isse saabt hua ki Imam Abu Hanifa kay walid Sahaba e kram ki pairwi karte
the aur mene upar ek hadees dikhai thi kay NABI Sallallahualaihiwasallam ne
farmaya sahaba me se jiski pairwi karege who hidayat per hoge.Isse saabit hai
ki Imam Abu Hanifa kay walid Hidayat per hai.
4 ) Sirf ek Taqleed kyu karte ho.
Jawaab: wahbiyon ka kehna ki “4 Haq per hai toh chaaro ki manuga” : yeh
toh Hadd hai pehle kisi ko nahi mante hai kehte hai Taqleed shirk , Haram,
Biddat aur dusri taraf kehdiye 4 HAq per hai chaaro ko manuga ref. kay liye jo
upar video daal gaur se dekhna use.ab chaaro ko maankar chaar chaar baar shirk
kardiye wahbi. Yaani yeh chaar ki Taqleed ek saath karege balke mere Nazdeek
yeh who log hai jo apne nafs ki Taqleed karte hai kyuke inke nazdeek inhe jo
sahi lagta yeh use pakad lete hai aur baaki choddete hai.aur usi Video me Zakir
naik sahib apne aapko 100% Hanfi bhi kehte hai.Ibn Taymiyah apni kitaab Fatwa
Ibn Taymiyyah, Volume 20, Chapter of Taqleed me likhte hai ki jab koi shaks
kisi Taqleed karne lagta hai aur bina wajah woh dusre shaks ki bhi Taqleed
karta hai goya woh apne NAFS ki Taqleed karta hai naki Imam ki Taqleed karta
hai aur is tarah karna HARAM hai.yeh wahbi apne ghar kay Imam ki kyu nahi
maante.
Wahbi ki Taqleed
Wahbi bhi Taqleed karte hai lekin batate nahi jaisa aapne upar padha aur
yaha niche me un Imam kay naam duga jinki who Taqleed karte hai,Hum toh sirf 4
Imam ki Taqleed kay bare kehte hai lekin wahbi 10 Imam ki Taqleed karte
hai,Naam mulayza farmaye :
1) Ibn Taymiyah.
2) Ibn Qayum.
3) Ibn Kaseer.
4) Ismail Dehlvi.
5) Siddique Hasan
Bhopali.
6) Shawkani.
7) Sanaullah
Amritsari.
8) Mohammad
Junagadi.
9) Albani.
10) Abdullah ibn
Abbas.
Wahbi insab ki Taqleed karte hai aur agar woh kahe hum
Taqleed nahi karte toh yeh apne maktab se Kitaab kyu chaapte ho kyuke inke
nazdeek sirf 2 hi kitaab hai 1) Quran 2) Sahi Hadees, Inke alawa yeh wahbi apni
kitaabe chaap kar kya saabit karna chahte hai??? Inhe toh chahiye ki sirf Quran
aur Sahi Sitta Hadees chaape, Apne maulana ki kitaab chaapkar sabko dete ho kay
yeh padho humari Taqleed karo lekin bolo mat Taqleed karaha hu.Yeh wahbi apne
aapko samajdaar samajte hai lekin hote nahi. Aur yeh Jawaab ek aur Aitraaz per
diya jaa sakta hai “Quran o Hadees Kaafi hai toh Taqleed kyu?? Kya
jahalat hai agar Quran o Hadees kaafi hai toh apne gharwalo se kaho Quran o
Hadees chaape dusri kitaabe band karde chaapna.
Challenge to all Wahbi
Bukhari shareef Inke nazdeek bahut mautbaar kitaab hai ki yeh
wahbi Quran shareef kay baad sidha Bukhari hi padhte hai aur fir dusri kitaabo ko
padhte hai.
Challenge hai: Imam Bukhari khud shafee hai.
Wahbiyoh zara bataye ki jo Shaks Taqleed karta ho yaani
tumhare nazdeek Shirk, Biddat, Haram kaam kiya uski darj ki hui Hadees ko
mautabar kehna kaisa???? Usool e Hadees me agar koi shaks Tadlees kare toh
Hadees ko Zaef kardete ho lekin yaha toh Hadees ko apni kitaab me nakal karne
wala hi Taqleed karte the.toh puri ki puri Bukhari ka kya karoge??? Aur yeh bhi
batadu ki Imam Buhari ne 2 Aise raawi se riwayat li hai jo HANFI hai.
1) Hazrat Yahya ibn
Moin.
مَا أَرَى لأَحَدٍ أَنْ يَنْظُرَ فِي رَأْيِ
الشَّافِعِيِّ، يَنْظُرُ فِي رَأْيِ أَبِي حَنِيْفَةَ أَحَبُّ إِلَيَّ...قُلْتُ:
قَدْ كَانَ أَبُو زَكَرِيَّا -رَحِمَهُ اللهُ- حَنَفِيّاً فِي الفُرُوْعِ،
فَلِهَذَا قَالَ هَذَا، وَفِيْهِ انحِرَافٌ يَسِيْرٌ عَنِ الشَّافِعِيِّ
Imam Dhahbee ne apni apni kitaab [Seyar Ailaam an-Nubala] me Hazrat Yahya Ibn Moin ko HANFI likha hai.
2) Hazrat Waqi ibn Jarah.
Waki bin Jarrah ko Imam Dhahabi nay Tazkiratul Hufaad main
Hanafi likha hai. Tazkiratul Hufaaz main Waki Bin Jarrah kay neechay unhoon nay
likha hai kay wo Abu Hanifa kay fiqh kay mutabiq fatwa detay thay.
Imam Yahya ibn mueen likhte hai ki Waqi ibn Jarah Imam Abu
Hanifa kay Qaul kay Mutabik Fatwa dete the.( Al-Intiqa’ fi Fada’il al-A’immati
l-Thalathat al-Fuqahap. 211)
Ab Agar Hadees me rawi Zaef aajaye toh Hadees Zaef hojati hai
sanad kay aitbaar se lekin Rawi mushrik aajaye toh????? Aur Imam Bukhari ne
kaafi saari hadeesein in dono Hanfi rawi se li hai jo Muqallid hai.Bataye kya
Faisla hoga Mushrik Rawi per wahbiyon ka????Bukhari manna choddoge ya Taqleed
legally shuru kardoge??
Masail Wahbiyon kay liye
Yeh who masail me de raha hu jise wahbyon ko bina Taqleed kay
nikalna hoga.
Daleel
Bukhari Shareef se.
1 ) صحیح بخاری
کتاب الوضو
باب: وضو میں ہر عضو کو ایک
ایک دفعہ دھونا بھی ثابت ہے
حدیث نمبر : 157
حدثنا محمد بن يوسف، قال حدثنا
سفيان، عن زيد بن أسلم، عن عطاء بن يسار، عن ابن عباس، قال توضأ
النبي صلى الله عليه وسلم مرة مرة.
ہم سے محمد بن یوسف نے بیان کیا ، ان
سے سفیان نے زید بن اسلم کے واسطے سے بیان کیا ، وہ عطاء بن یسار سے ، وہ ابن عباس
رضی اللہ عنہما سے روایت کرتے ہیں کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے وضو میں ہر
عضو کو ایک ایک مرتبہ دھویا۔
2 ) صحیح بخاری
کتاب الوضو
باب: اس بارے میں کہ وضو
میں ہر عضو دو دو بار دھونا بھی ثابت ہے
حدیث نمبر : 158
حدثنا حسين بن عيسى، قال حدثنا
يونس بن محمد، قال حدثنا فليح بن سليمان، عن عبد الله بن أبي بكر بن عمرو
بن حزم، عن عباد بن تميم، عن عبد الله بن زيد، أن النبي صلى الله عليه
وسلم توضأ مرتين مرتين.
ہم سے حسین بن عیسیٰ نے بیان کیا ،
انھوں نے کہا ہم سے یونس بن محمد نے بیان کیا ، انھوں نے کہا ہم سے فلیح بن سلیمان
نے عبداللہ بن ابی بکر بن محمد بن عمرو بن حزم کے واسطے سے بیان کیا ، وہ عباد بن
تمیم سے نقل کرتے ہیں ، وہ عبداللہ بن زید رضی اللہ عنہ کے واسطے سے بیان کرتے ہیں
کہ نبی کریم صلی اللہ علیہ وسلم نے وضو میں اعضاء کو دو دو بار دھویا۔
3 ) صحیح بخاری
کتاب الوضو
باب: وضو میں ہر عضو کو تین
تین بار دھونا (سنت ہے)
حدیث نمبر : 159
حدثنا عبد العزيز بن عبد الله
الأويسي، قال حدثني إبراهيم بن سعد، عن ابن شهاب، أن عطاء بن
يزيد، أخبره أن حمران مولى عثمان أخبره أنه، رأى عثمان بن عفان دعا
بإناء، فأفرغ على كفيه ثلاث مرار فغسلهما، ثم أدخل يمينه في الإناء
فمضمض، واستنشق، ثم غسل وجهه ثلاثا، ويديه إلى المرفقين ثلاث
مرار، ثم مسح برأسه، ثم غسل رجليه ثلاث مرار إلى الكعبين، ثم قال قال
رسول الله صلى الله عليه وسلم " من توضأ نحو وضوئي هذا، ثم صلى
ركعتين، لا يحدث فيهما نفسه، غفر له ما تقدم من ذنبه ".
ہم سے عبدالعزیز بن عبداللہ الاویسی
نے بیان کیا ، انھوں نے کہا مجھ سے ابراہیم بن سعد نے بیان کیا ، وہ ابن شہاب سے
نقل کرتے ہیں ، انہیں عطاء بن یزید نے خبر دی ، انہیں حمران حضرت عثمان کے مولیٰ
نے خبر دی کہ انھوں نے حضرت عثمان بن عفان رضی اللہ عنہ کو دیکھا، انھوں نے (حمران
سے) پانی کا برتن مانگا۔ (اور لے کر پہلے) اپنی ہتھیلیوں پر تین
مرتبہ پانی ڈالا پھر انہیں دھویا۔ اس کے بعد اپنا داہنا ہاتھ برتن میں ڈالا۔ اور
(پانی لے کر) کلی کی اور ناک صاف کی، پھر تین بار اپنا چہرہ دھویا اور کہنیوں تک
تین بار دونوں ہاتھ دھوئے پھر اپنے سر کا مسح کیا پھر (پانی لے کر) ٹخنوں تک تین
مرتبہ اپنے دونوں پاؤں دھوئے۔ پھر کہا کہ رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا
ہے کہ جو شخص میری طرح ایسا وضو کرے، پھر دو رکعت پڑھے، جس میں اپنے نفس سے کوئی
بات نہ کرے۔ تو اس کے گذشتہ گناہ معاف کر دئیے جاتے ہیں۔
Yeh pehli Daleel hai sahi Bukhari se jisme likha hai ki
Hadees no. 157 Wuzu kay aaza ko ek dafa dhona , Hadees no. 158 Wuzu kay aaza ko
2 dafa dhona , Hadees no. 159 Wuzu kay aaza ko 3 dafa dhona.Ab wahbiyon se
sawaal hai bina Taqleed kay yeh bataye ki kis per Amal karna hai aur uski Dalil
bhi dikhai ki fala Hadees per amal karege kyuke 1 Hadees per amal karege toh 2
choot jayegi aur Ahle Hadees Wahbi Hadees ko chodte nahi.
Jawaab ka Intezaar rahega.
Dalil Abu
Dawood se
1 ) سنن ابوداود
كتاب الطهارة
طہارت کے مسائل
باب الوضوء من مس الذكر
باب: شرمگاہ کو چھونے سے
وضو۔
حدیث نمبر : 181
2 ) سنن ابوداود
كتاب الطهارة
طہارت کے مسائل
باب الرخصة في ذلك
باب: اس میں رخصت کا بیان۔
حدیث نمبر : 182
حدثنا مسدد، حدثنا ملازم بن عمرو
الحنفي، حدثنا عبد الله بن بدر، عن قيس بن طلق، عن ابيه، قال
قدمنا على نبي الله صلى الله عليه وسلم فجاء رجل كانه بدوي فقال يا نبي الله ما
ترى في مس الرجل ذكره بعد ما يتوضا فقال "هل هو إلا مضغة منه ". او
قال - "بضعة منه ". قال ابو داود رواه هشام بن حسان وسفيان الثوري
وشعبة وابن عيينة وجرير الرازي عن محمد بن جابر عن قيس بن طلق .
جناب قیس بن طلق اپنے والد (طلق رضی اللہ عنہ)
سے روایت کرتے ہیں کہ ہم اللہ کے نبی کریم صلی اللہ علیہ
وسلم کی خدمت میں حاضر ہوئے، تو ایک آدمی آیا وہ بظاہر بدوی (دیہاتی) تھا، کہنے لگا: اے اللہ کے نبی! آپ اس شخص کے بارے میں کیا فرماتے ہیں جس نے وضو کے بعد اپنے
ذکر کو ہاتھ لگا لیا ہو؟ تو آپ صلی اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ”یہ اس کے جسم کا ایک ٹکڑا ہی تو ہے!۔“ امام ابوداؤد رحمہ اللہ کہتے ہیں کہ اس روایت کو ہشام بن حسان،
سفیان ثوری، شعبہ، ابن عیینہ اور جریر رازی نے محمد بن جابر سے، انہوں نے قیس بن
طلق سے روایت کیا ہے۔
Is Hadees me Sharam Gaah ko chuliya
toh wuzu karna hoga (Hadees no. 181)
Aur is Hadees me Sharam gaah ko
haath lagaya toh wuzu na toota (Hadees 182)
Wahbiyon batao kis per Amal karoge
bina Taqleed kay batana.
Dalil
Mishkat Shareef se
Kitabut Wuzu
jild 1 Hadees 303
Tarjuma:
Agar Kisi ne apni biwi ko bosa diya toh wuzu toot jayega.
Kitabut Wuzu
jild 1 Hadees 297
Tarjum: Hazrat
Aisha Radialla taala anha farmati hai hai ki Baaz auqaat NABI
Sallallahualaihiwasallam apni biwiyon me se Kisi ka bosa lete Wuzu nahi farmate
Namaz padha liya karte the.
Ab wahbiyon
batao ki Kis Hadees per Amal karoge bina Imam ki Taqleed kay batana.
Is tarah aur
bhi masle hai jo puri ki puri wahbiyatbina Taqleed kay masle hal nahi kar
sakti.
Wahbiyon ki jahalat
Yeh Wahbi Khud kya kehte hai inhe aqal nahi hoti aur kuch bhi
keh jaate hai.
Yeh Video hai Maulana Ismail Bhati
Gair Muqallid ka.Is video me who kehte hai ki Hazrat Abdullah Ibn Masood
radialla taala anhu jab taqreer karte aur koi masla bayan karte toh mard toh
mard aurte bhi gharme jaakar Hawala dhundti kay fala masle ka hawala HADEES o
Quran ki kitaab me maujud hai ki nahi.Aur Hazrat Abdullah ibn Masood ki taarif bhi
bayan ki lekin jaahil wahbi samajhte nahi bas jhut boldete hai.
Ibn Mas'ud [Abu 'Abdur Rahman]
|
Comp.(RA) [1st Generation]
|
|
Full Name:
|
'Abdullah ibn Mas'ud b. Ghafil b.
Habib b. Shamkh b. Far b. Makhzum b. Sahilah b. Kahil b. al-Harith
|
|
Parents:
|
||
Siblings:
|
||
Birth Date/Place:
|
(Makkah)
|
|
Death Date/Place:
|
32 AH/ 652 CE (Medina/Kufa)[ Natural ]
|
|
Places of Stay:
|
Makkah/Abyssinia/Medina/kufah
|
|
Area of Interest:
|
Tafsir/Quran, Recitation/Quran,
Narrator [ ع - صحابة ], Fiqh
|
|
Spouse(s):
|
||
Children :
|
||
Teachers/
Narrated From: |
Hazrat Abdullah ibn Masud ki pur detail hai upar aur isse
pata chalta hai ki aap Sahaba e kram hai. Toh Wahbiyo aur Ismail bhati yeh
batao ki us waqt Mard aur Aurat kaun si Hadees ki kitaab me Hazrat Abdullah Ibn
Masud ka Hawala dhundte the??? Kya Bukhari , Muslim ,Abu dawood , Nisai etc etc
us waqt maujud thi ???
JHUTO PER ALLAH ki laanat ho.Yeh wahbi khud kya kehte hai
inhe pata nahi. Sahaba e kram kay masle ko Hadees me dhundte the dusre sahabi.
Wahbiyon se 10 sawaalat jo bina Imam
ki Taqleed kay Quran o Hadees ki roshni me saabit kare
1) Duniya me Baaz
jagah Jaha kai kai mahine Suraj nahi nikalta waha 5 waqt ki namazo’n ka taayun
kaise kiya jayega??
2) Chalti Hui Train
me Namaz padhna Jaiz ya NaJaiz???
3) Eiddein kay
Chand kay dekhne ka elaan Mike, Telephone, SMS, TV, Radio etc kay zariye diya
jaati hai.Yeh Jaiz ya NaJaiz.
4) Zakaat Notes se
adaa kiya to zakaat hogi ya Nahi??
5) Tahajjud ki
Azaan Jaiz ya NaJaiz, Agar Jaiz hai toh kiske zamane me hui, Kaun se Sahaba,
Tabai, Tabe tabai kay zamana tha Quran o Hadees se saabit kare.
6) Suwar ka ghost
PAAK ya NAPAAK kyuke Quran shareef me Suwar ka Ghosht khana Haram kaha hai
lekin Paak ya Napaak???
7) Kutta, Bhes,
Jhinga inka Ghosht khana Jaiz ya NaJaiz??
8) Roze ki halat me
injection lagane se Roza tootega ya nahi???
9) Substitute
Mother se bacche paida karna Jaiz ya NaJaiz??
10) YouTube wagaira
per apni Video banakar taqreer ki daalna yeh Jaiz ya NaJaiz????
Yeh 10 Sawaal hai jo wahbiyon ko Dena hai Bina Taqleed kay
sirf o sirf Quran o Hadees ki roshni me.
0 comments:
Post a Comment