Reply to Meraj Rabbani by Maulana
Farooq Khan Razvi .
Is khabees (Meraj Rabbani) ne Hazrat Khwaja Gareeb nawaz ki
shaan me badi Gustakhi ki hai zara padhe aur Dil per haath rakhle aur guzarish
hai aise logo kay piche bhi Namaz na adaa kare.Jiska imaan hi nahi woh Imam Kya
hoga.Humare Ullema Haq farmate hai ki in wahbiyo’n kay piche Namaz na padha
karo yeh kaafir hai Gustakh hai.
Yeh Meraj Rabbani Hazrat Khwaja Gareeb Nawaz ko HIJDA kehta
hai ki “ Khwaja” kay maana HIjda hai (Firozul Lughat) aur yeh bhi kehta hai ki Khwaja Gareeb nawaz kay
darr per hijde jaate kyukay Khwaja Gareeb nawaaz inhi(Hijdo) ki qaum kay the
isliye jaate.
Ab jo log Khwaja ko HIJDA bole kya woh Musalmaan hosakte hai
?? kya inka imaan abhi bhi salamat hai ?? Hindustan me jiski badaulat Islam me
daakhil hue use hi gaddari . JAHIL = Wahbi = GAWAR baat ek hi hai.ab Meraj
Rabbani ne sirf ek hi lughat se Hawala diya aur bataya ki Khwaja kay maana
Hijda hai aur hum insha ALLAH yehi lughat ki kitaab se saabit karege ki Khwaja
kay maana kya hai.
1) Firozul lughat Page no 597. Padhte hai.
Isme khwaja kay maana likha
:
1)
Khwajgan : Khwaja ki
jama,Malik,aaka,Sarkar log.
2)
Khwaja : khudawand ,sahib,
sardar,aaka ,Tauran me sadad ka laqab hai(aur yeh sayed gharane kay logo ko
milta hai) , Hijda.
Itne maana hai Khwaja hai aur Meraj Rabbani ne Bugz rakhte
hue sab acche maana chod diye aur aakhir ka lafz pakda.isse pata chalta hai ki
Meraj Rabbani kay Dil me Bugz hai Buzurgo’n kay liye.
Ab dusri Lughat ki kitaab me padhte hai , Khwaja asal me
Farsi zaban ka lafz hai , yeh Nahi Arbi hai aur naahi Urdu.
Farsi ki lughat “Lughat e Kishwari” : yeh Farsi zaban me
mustanad maan jaati hai aur bade bade apne waqt ullema isi farsi ki kitaab se
madad liya karte hai.
2) Lughat e kishwari Page 175.
Isme Likha hai :: Sahibe Khwaja : Ghar ka malik,Sardar
,Peer,Hakim,sahibe jami’at,Maaldar,rooh,Tauran me sadad ka laqab hota hai ba
maina badshah , wazeer ka hota hai.
Yaani badhshah , wazeer kay saath bhi istemal hota hai.
Ab itne Ache acheLafz chod diya Meraj Rabbani Khabees ne aur
lafz pakda toh Hijda wala. Aur khwaja kiska laqab hai Malik e Roz e qayamat
(Sallallahualaihiwasallam) aur Hazrat Khizr Alaihissalam ko bhi khwaja kaha
gaya.jab yeh kisi buzurg ki nisbat ki jaati hai Khwaja ki toh yaha Malik ,
Aaka, sardar kay liya jaata hai. Magarinke Dilo’n me CHOR chupa hua hai aur yeh
acche maana nahi lete balke Bure maana lete aur waliyo’n per Fit karte hai.
3)
Practical standard 21st
Century Page 292 yeh teesri lughat ki kitaab hai aur yeh mustanad maani
jaati hai yeh urdu to English ki lughat ki kitaab hai.Isme bhi khwaja kay maana
padhte hai :
Khwaja : Title of respect , Master ,Lord,Great Person,Tycoon.Buisness
management.
Itne saare maana hai lekin Bugz rakhne wala kare bhi toh
kya.aur pehla hi lafz hai “Title of respect” jo adab kay liye istemal hota hai
lekin badbakht ko dekho saare acche maana chodkar bure maana ki taraf jaate
hai
4)
The Student
Practical Dictionary
Iske likhne wale gair Muslim hai iske page no. 292
Khwaja ka maana : Master,rich , Khwaj e Khizr(yaani Hazrat e
Khizr ko bhi Khwaja kaha jaata hai)
Toh yeh Khabees saare acche maana chodkar bure maana lete
hai toh Meraj rabbani se kahuga ki teri Halat kis tarah hai ???
ALLAH kay NABI Sallallahualaihiwasallam jab VAAZ farmaya
karte the aur aap sahaba e kram se Hadeesein bayan karte toh kuch munafiqin the
jo piche baitha karte the jaan bujhkar aur woh NABI Sallallahualaihiwasallam ka
mazaak udaya karte the.MAZ ALLAH.
Sahaba e Kram NABI Sallallahualaihiwasallam ki taqreer ko
sama’t Farma rahe Soon rahe hai.Hota yeh tha ki NABI Sallallahualaihiwasallam
kabhi kabhi mushkil jumla keh dete ki Sahaba e kram kay samaj me na aati.toh
Sahaba e kram kehte the “raina ya Rasul ALLAH”( Hum per rahem kijiye Rasul
ALLAH Sallallahualaihiwasallam,Humari riya’at kijiye,hume aasan kar kay
samjhaiye) toh Munafiq kya karte the (Munafiq ki dictionary me raina ka maana
charawa hota tha jo bhed charata tha )toh munafiq khich kay kaha karte the raaina
ya Muhammad) fir haste the aur is lafz ka matlab who yeh lete the ki bhed
charane wala.Yeh gustakhi thi.ek martaba Saad bin Muaz radialla taala anhu jo
bade sahibe the aur in munfiq ki zaban ko jaante the kyukay aap ne Imaan laya
tha aur aap jaante the ki in munafiq ki lughat ki kitab me kaun se alfaz kay
kya maana hai.aur ek din aap taqreer me aane me late hogaye toh aap piche ki
taraf bait gaye aur in munafiqo’n ne fir aapko khich kar pukara “Raain ya
Muhammad” aur fir hasne lage aur us waqt Hazrat Saad bin Maaz ko jalal aagaya
aur aapne Talwar nikali aur kaha badbhakto me tumhe qatal karduga , tum ALLAH
kay NABI ki tauheen karte ho.toh munafiqo’n ne kaha hum toh wahi kehte hai jo
tum kehte ho.toh Hazrat Maaz ne Farmaya tum galat kehte ho tum khich kay padhte
ho,tumhara nazarya,tumhara khayal tauheen ka hota hai,hum kehte hai toh adaban
kehte hai.guftugu badne lagi aur Jab humare NABI Sallallahualaihiwasallam ne
mulahiza farmaya ki kyu jhagad rahe ho,toh Hazrat Maaz ne kaha ki Ya Rasul
ALLAH yeh aap ki tauheen karte hai aur munafiqo’n ne qasme khaani shuru kardi
ki humara maqsad tauheen ka nahi tha,Tab ALLAH taala ne Quran ki aayat naazil
ki Surah Baqrah aayat no. 104 hai.
Tarjuma : اے ایمان والو (ف۱۸۵)رَاعِنَانہ کہو اور یوں عرض کرو کہ
حضور ہم پر نظر رکھیں اور پہلے ہی سے بغور سنو (ف۱۸۶) اور کافروں کے لئے دردناک عذاب ہے (ف۱۸۷)
Toh pata chala kay Sahaba jo lafz istemal karte aur Munafiq
jo istemal karte woh ek hi tha lekin Sahaba e kram accha maana lete aur Munafiq
bura maana lete,Quran ne bura maana lene walo ko Munafiq qarar diya.
Aur yeh Khabees bhi unhi munafiq kay naqsh e kadam per chal
rahe hai jinke Dilo’n me Buzurgo’n kay liye BUGZ hai. Aur yaha tak yeh in
Buzrgo’n ko kaafir bhi samajte hai jiski ainda Notes me duga Insha ALLAH.
0 comments:
Post a Comment