Qayamat Ka ilm NABI
Sallallahualaihiwasallam kay paas hai ki nahi???
Aksar wahbi Deobandi ko NABI Sallallahualaihiwasallam me aib
dhundte dekha hai aur woh kehte hai ki NABI ko yeh ilm nahi woh ilm nahi aisa
nahi maalum waisa nahi maalum aur jab hum AHLE SUNNAT JAMAAT inka muh tod
Jawaab dete hai toh yeh kehte hai ki kya NABI Sallallahualaihiwasallam ko
Qayamat kay aane ka ilm nahi maalum.
Aakhir kisi bhi tarah yeh apne NABI ko lailm saabit karne
per tule rehte hai.
Is Article me hum Insha ALLAH un Dalilo’n ko padhege jisse
saabit hoga ki ALLAH taala ne NABI Sallallahualaihiwasallam ko Qayamat ka ilm
bhi ataa kiya hai aur waqt ko chupane ka hukum bhi diya hai.
Ilm e Ghaib per Total 21 aayat Quran shareef se aur Total 80
Hadees hai,Jo yeh saabit karti hai ki ALLAH TAALA ne NABI
Sallallahualaihiwasallam ko Ilm e Ghaib ataa kiya..Makaan wa Mayakoon ka ilm
ataa kiya.
Hum Quran ki chand aayat aur uski Tafseer Dekhte hai.
Quran:
Surah Rehman Aayat # 1-4
Tarjuma: Rehman ne, apne mehboob ko Quran sikhaya, Insaniyat
ki Jaan Mohammed ko Paida kiya, Makaan wa mayakoon ka bayan inhe sikhaya.
Ab is ki Tafseer per bhi padhte hai:
Tafseer e Khazin: “Kaha gaya hai kay Insaan se muraad
Mohammed Sallallahualaihiwasallam hai kay in ko aglo pichlo umoor ka bayan
sikha diya gaya kyuke Huzur Sallallahualaihiwasallam ko aglo aur pichlo ki aur
Qayamat kay din ki khabar di gai”
Surah Jinn aayat 26-27
Tafseer Kabeer
Tarjuma: “Yaani Qayamat kay aane waqt in guyubo mese hai jis
ko ALLAH taala kisi per zaahir nahi farmat pas agar kaha jawe kay jab tumne is
Ghaib ko Qayamat per mehmool karliya to aap rab tala ne yeh kaise farmaya!
Magar pasandida rasulo’n ko halanke yeh Ghaib toh kisi perbhi zaahir nahi kiya
jaati toh hum kahege kay rab taala Qayamat kay qarib zaahir farma dega”
Tafseer e khazin aur rooh ul bayan: niche:
HADEES
Hadees # 1
Bukhari Kitaab Bada'a Ul Khalq aur Mishkaat, JILD#2, Baab Bada'a Ul
Khalq O Zikar Ul Ambiya mainHazrat UMAR-E-FAROOQ (Razi ALLAH Anhu) se
Riwaayat hai:
TARJUMA: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne ek
Jagah Qayaam farmaya, Pas Hum ko Ibtada-E-Pedaish ki khabar de di,
Yahaan tak k Jannati log, Apni Apni Manzilon main Puhanch gae,
aur Jahannumi log apni main jis ne Yaad rakha , Us ne yaad rakha, aur jo
Bhool gaya, Woh Bhool Gaya".
(Sahi Ul Bukhaari, Kitaab Bada'a Ul Khalq, Jild#1, PAGE#453, Matboo'a
Qadeemi, Kutub Khaana Karachi),
(Sahi Muslim Kitaab Ul Fatan, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a Qadeemi Kutub khaana
Karachi)
(Mishqaat UL Musaabeh, PAGE#506, Matboo'a NOOR Muhammad Qutub Khana)
Is Jagah HUZOOR (ALEH SALAAM) ne 2 Qisam k Waqi'aat ki khabar di
1) AALAM ki Pedaish Ki IBTADA kis tarah huwi..
2) Phir AALAM ki INTAHA kis Tarah hogi..
Yaani Az Roz Awwal ta Qayaamat Ek Ek Zarra Bayaan Kar diya..
Issi Hadith ki sharah main ALLAMA BadarudDin A'ni "A'ini
Sharah-e-Bukahri Jild 7 Page # 214, 215 per farmatay hian:
والغرض انہ اخبر عن المبداء والمعاش والمعاد جمیعا
Sharah-e-Bukahri Jild 7 Page # 214, 215 per farmatay hian:
والغرض انہ اخبر عن المبداء والمعاش والمعاد جمیعا
"Gharz ye k Hzur Sarwar-e-Aalam ne Makhlooqat k Mubda aur mu'ash aur ma'ad sab ki khabar de di
Aur Imam Badr ud Din Aini agay chal k farmaty hain:
وفیہ دلالۃ علٰی انہ اخبر فی المجلس الواحد بجمیع احوال المخلوقات من ابتدائھا وفی ایراد ذٰلک کلہ فی مجلس واحد امر عظیم من خوارق فدیف وقد اعطی جوامع الکلم مع ذٰلک
"aur iss Hadith main iss baat pe Dalalat hai Nabi-e-Paak علیہ الصلوۃ والسلام ne ek hi majlish main tamam Makhlooqat k TAMAM ahwaal ki khabar di. Ibtada se intehaa tak aur ek hi majlis main iss ka Waarid farmana Khwariq-e-Adat se Amr-e-Azeem hai aur Q na ho? Iss k bawajood k Nabi-e-Paak علیہ الصلوۃ والسلام Jawam al’Kalam bhi diye gye.”
وفیہ دلالۃ علٰی انہ اخبر فی المجلس الواحد بجمیع احوال المخلوقات من ابتدائھا وفی ایراد ذٰلک کلہ فی مجلس واحد امر عظیم من خوارق فدیف وقد اعطی جوامع الکلم مع ذٰلک
"aur iss Hadith main iss baat pe Dalalat hai Nabi-e-Paak علیہ الصلوۃ والسلام ne ek hi majlish main tamam Makhlooqat k TAMAM ahwaal ki khabar di. Ibtada se intehaa tak aur ek hi majlis main iss ka Waarid farmana Khwariq-e-Adat se Amr-e-Azeem hai aur Q na ho? Iss k bawajood k Nabi-e-Paak علیہ الصلوۃ والسلام Jawam al’Kalam bhi diye gye.”
NOTE: Jannati Jannat me aur Jahannami Jahannam me kab
jayege???? Qayamat aane kay baad. Toh Sarkar Sallallahualaihiwasallam ne
Qayamat hone kay baad ki bhi khabar de rahe hai.
Hadees # 2
Mishkaat Baab Ul Mojizaat main muslim se Bariwaayat Umar-O-IBN-E-KHATA
isi tarah manqool hai magar is main itna aur hai:
Tarujuma: "Hum ko tamaam un Waaqiyaat ki khabar de di, jo
Qayaamat tak hone waale hain, Pas hum main bara AALIM woh hai, jo in baaton ka
Ziyaadah Haafiz hai".
(Sahi Muslim, JILD#2, PAGE#390, Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)
Hadees # 3
Mishkaat Baab Ul Fitan main Bukhaari O Muslim se Bariwaayat Hazrat
Huzefa (Razi ALLAH Anhu) hai.
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ne us jagah
QAYAAMAT tak koi cheez na chori, magar uski khabar de di, jis ne yaad rakha,
yaad rakha, jo bhool gaya woh Bhool gaya".
(Sahi Bukhari, JILD#2, PAGE#977, Matboo'a Karachi)
(Dalaelun Nabuwwah, IMAAM BEHKI, JILD#6, PAGE#313, Matbo'a Daar Ul
Qutub Ul Ilmiya, BEROOT)
Haafiz Shaha Buddeen 862 Hijri main likhte hain:
TARJUMA: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ek hi Majlis
main ROZ-E-QAYAAMAT tak k Ehwaal O Waaqiyaat ka Bayaan farmana, aap ka
Azeem mojiza hai, aur AAP (Sallalaho Alehe Wassallam) ki SHAAN Taweel
Kalaam ko chand jumlon main bayaan karna is ka Aaenadaar hai. aur is ki Misaal
ek dusri Jahat se ABDULLAH BIN UMAR O AAS (Razi ALLAH Anhu) ki Hadees
main hai Jisay IMAAM TARMIZI (REHMATULLAH ALEH) ne Riwaayat kiya hai,
KHUZOOR (ALEH SALAAM) hamaray pass tashreef lae, AAP k haath main 2
kitaaben thin.. Seedhay Haath waali Kitaab k baaray main farmaya yeh
Kitaab RABBUL AALAMEEN ki taraf se hai, is main Ahl-E-Jannat aur in k
Aaba'a aur in k Kabeelon k naam hain, in par kabhi bhi na koi naam Ziyaadah ho
sakta hai aur na ko naam kam ho sakta hai.. Phir AAP (SALLALAHO ALEHE
WASSALLAM) ne Baayen Haath waali Kitaab k Baaray main AHLE DOZAKH ki
Nisbat isi Misal Bayaan Farmaya".
(Fatah-Ul-Baari, Sharah Sahi Bukhari, JILD#6, PAGE#291, Matboo'a
Dar-un-nashar,Kitaab Ul Islaamiya, Lahore)
IMAAM BADARUDDEEN Aeni Hanfi 855 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " HUZOOR (ALEH SALAAM) ka ek hi Majlis
main Roz-E-Qayaamat tak k Ehwaal O Waqiyaat ka bayaan farmana AAP
(Sallalaho Alehe Wassallam) k Mojizaat main se ek Azeem mojiza hai, aur aesa q
na ho k AAP (ALEH SALAAM) ko is k Saath jo Taweel kalaam ko thoray waqt main
bayan karne ka Mojiza bhi ata kiya".
(Umdah Qaari , JILD#15, PAGE#110, Matboo'a Darul Fikar Beroot)
ALLAMA AHMED QAStLAANI bhi 911 Hijri main yahi likhte hain:
(Bahawala: Irshaad Us Saari, JILD#5, PAGE#250)
Hadees # 4
Mishkaat Baab Fazael Syed Ul Mursaleen main Muslim se Ba Riwaayat
Sobaan (Razi ALLAH Anhu) hai:
Tarjuma: " ALLAH ne mere Liye, Zameen samait di, pas main
ne Zameen k Mashriqon aur Magribon ko dekh liya".
(Sahi Muslim Kitaab Ul Fitan O Sharaet O Sa'at, JILD#2, PAGE#390,
Matboo'a E Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)
(Sahi Muslim, JILD#4, PAGE#2216, RaqamUl Hadees#2889, Matboo'a DarUl
Kutub Ilmiya, Beroot)
MirQaat Sharah Mishkaat aur sharah Shifa Ul Mulla Qaari O Zarqaani
Sharah Muwaahib, Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa main Hadees # 4 main hai..
Tarjuma: "Is Hadees ka khulasa yeh hai k HUZOOR (ALE
SALAAM) k liye zameen samait di gai, aur is ko aesa jama farma diya gaya, jese
ek haath main aaenay ko dekhta hai aur zameen ko is tarah sameta k Door waali
ko Qareeb kar diya is k Qareeb ki taraf, yahaan tak k hum ne dekh liya un
tamaam cheezon ko jo Zameen main hain"..
Hadees # 5
Mishkaat Ul Masaajid main Abdur Rehman Bin Aaish se Riwaayat hai:
TARJUMA: " HUM ne apne RAB ko achi
Soorat main dekha, RAB TA'ALA ne apna Dast Qudrat Hamaray Seenay
par rakha, Jis ki Thandak hum ne apne Qalb main Paai, Pas Tamaam Aasmaan O
Zameen ki Cheezon ko hum ne jaan liya".
(Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah RAB TA'ALA, Fi Nom,
JILD#2, PAGE#51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan)
Imaam Abdullah Bin Abdur Rehman Daarmi 255 Hijri
main Riwaayat karte hain:
Tarjuma: " Mene Apne RAB Azzawajal ko
Behtareen soorat main deekha, RAB-E-Zul jalaalne mujh se
farmaya k Malaika Muqqabareen kis baat par jhagra karte hain?? Mene Arz
ki MOLA tu Khoob jaanta hai, HUZOOR (ALEH SALAAM) ne
farmaya phir mere RAB ne apni REHMAT ka HAATH mere donon Shaanon k Darmiyaan
rakh diya, mene us ki Thandak apni dono Chaatiyon k Darmiyaan Paai, Pas mujhey
in tamaam Cheezon ka ILM hogaya, jo k Aasmaaanon aur Zameenon main thin".
(Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah RAB TA'ALA, Fi Nom,
JILD#2, PAGE#51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan)
IMAAM AHMED BIN HAMBAL 241 Hijri main Riwaayat
karte hin:
Tarjuma: " HAZRAT IBN-E-ABBAS (Razi
ALLAH Anhu) bayaan karte hain k NABI (ALEH SALAAM) ne
farmaya AAJ RAAT ko neend main mera RAB Azzawajal Haseen Soorat main
mere Pass Aaya, aur farmaya Ae MUHAMMAD! Kiya tum jaante ho k
Malaikah kis chez par behes kar rahe hain??
HAZRAT IBN-E-ABBAS (Razi ALLAH Anhu) kehte hain k AAP ne farmaya Nahin..
Phir NABI (ALEH SALAAM) farmate hain, k ALLAH TA'ALA ne apna Haath
mere donon kandhon k darmiyaan rakha Hat'ta k Main ne apne seene main is ki
Thandak mehsoos ki aur mene in tamaam Cheezon ko jaan liya jo Aasmaanon aur
Zameenon main hain".
(Musnad Ahmed, JILD#1, PAGE#368, Raqqamul Hadees 3484, Matboo'a
Mosasta Qurtaba Misar)
Hadees # 6
Sharah Mowaahib Ladniyah main HAZRAT ABDULLAH BIN UMAR (RAZI ALLAH
ANHU) ki Riwaayat se hai:
Tarjuma: " ALLAH TA'ALA ne
hamare saamne Saari duniya ko pesh
farmaa diya Pas hum is Duniya ko aur jo kuch is main QAYAMAT tak
hone waala hai is tarah dekh rahe hain, jese apne Haaath ko dekhte hain".
(Sharah Ul Allama Zarqaani Ali Ul Mowaahib Ul Ladniyah Ul Maqsad Us
Saaamin Ul Fasal Us Salis Ul Qasam Us Saani, JILD#7, PAGE#206, Matboo'a Darul
Ma'arfatah, Beroot)
Hadees # 7
Mishkaat Baab Ul Masaajid Bariwaayat Tarmizi hai:
Tarjuma: " Pas Hamare liye har cheez
zaahir hogai aur Hum ne Pehchaan li ".
(Jaamay Sunan Tarmizi Kitaab Ul Tafseer, JILD#5, PAGE#160, RAQAMUL
HADEES 3246 Matboo'a Daarul Fikar Beroot)
Imaam Jalaludeen 911 Hijri main likhte hain:
Tarjuma: " Tibraani (Rehmatullah
Aleh) ne IBN-E-UMAR (RAZI ALLAH ANHU) se Riwaayat ki, Inhon ne kaha k RASOOL
ALLAH (ALEH SALAAM) ne farmaya, ALLAH AZZAWAJAL ne Saari duniya ko utha kar
mere Pesh-E-Nazar kar diya, aur main ise dekh raha hun, aur Qayaamat tak jo
kuch us main hone waala hai main use us tarah Waazeh tor par dekh raha hun jese
meri yeh hatheli hai, ALLAH AZZAWAJAL ne apne NABI k liye Munqashaf farmaya,
jis tarah AAP se pehle NABIYON ki taraf kiya".
(Khasaesul Kubra, JIL#2, PAGE#185, Matboo'a Daarul Kutub Ilmiya,
Beroot)
Hadees # 8
Bukhari Kitaab Ul Aatasaam Bil Kitaab Wa Sunna Aur Tafseer E Khazan
main hai:
Tarjuma: " Huzoor (Aleh Salaam) Mimbar par kharay
huwe, Pas Qayamat ka Zikar farmaya k Is se Pehle Baray Bary Waaqiyaat hain,
Phir farmaya jo Shakhs jo Baat puchna chahay Puch le, QASAM khuda ki Jab tak
Hum is jagah Yaani Mimbar par hain, tum koi baat hum se na pucho ge, magar hum
tum ko is ki Khabar denge, ek Shakhs ne khare ho kar Arz kiya, K mera Thikaana
kahaan hai?? Farmaya Jahannum main... Abdullah Bin Huzaifa ne khare ho kar
Dariyaft kiya k Mera BAAP kon hai?? Farmaya HUZAFA.. Phir Baar Baar farmate
rahek Pucho Pucho"..
(Sahi Ul Bukhari Kitaab Ul Aatasaam, Jild#2, Page#1083,
Matboo'a Qadeemi, Kutub Khaana Karachi)
Hadees # 9
Mishkaat Baab Ul Mojizaat main HAZRAT ABU HURERA (RAZI ALLAH ANHU) se
Riwaayat hai:
Tarjuma: " Shikaari Aadmi ne kaha mene Aaj ki tarah
kabhi na dekha k Bheriya Baaten kar raha hai, to Bheriya bola, k is se
Ajeeb baat yeh hai k Ek Sahab (HUZOOR ALEH SALAAM) Do (2) Medaanon k
Darmiyaani Nakhlistaan (Madina Munawaarra) main hain aur Tum ko Gusishta aur
Aaendah ki Khabren de rahe hain".
(seerat Ibn-E-Ishaaq Aalaam Un Nabbuwwah, Page#261, Raqam Ul Hadees,
433, Matboo'a Ma'ahad Duraasaat Wala Bahas Ut Taareeb)
Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 Hijri main
Likhte hain:
Tarjuma: " Bheriye ne kaha yeh to koi Ta'ajub Khez Baat
nahin hai, Dar Asal Herat aur Ta'ajub ka Mojib to yeh baat hai k
Sangistaanon k darmiyaan Nakhlistan main ek Hasti Jalwah farma hain, jo Guzre huwe
Waaqiyaat bhi Batlaate hain, aur Aane Waale bhi"..
( Al Wafa Ba Hawal Ul Mustafa, Baab Us Saani Zikar Aalaam Ul Hawash,
JILD#1, PAGE159, Matboo'a Mustafa Ul Baabi, Misar)
ALLAMA Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maaliki Qurtubi 668
Hijri main Likhte hain:
Tarjuma: " Bheriya kehne laga, Ae Bakriyon Waale!! Is
se kahin Ziyaadah Ajeeb Baat to yeh hai k In do (2) Sangistaanon k
Darmiyaan Khajooron k Baagaat Waale Sheher main ek MArd Jalwah Farma hai, jo
tumhen Maazi ki Khabren bhi Deta hai, aur jo kuch tumhare Mustaqbil main hone
waala hai un Waaqiyaat ki khabren bhi deta hai"..
(At Tazkara Fi Ehwaal Al Moti Wa Umoor Takoon Ben Yadi Us Sa'at,
Jild#2, Page#527, Matboo'a Saeediya, Kutub Khana, Sadaf Plaza Muhalla Jangi
Peshawar)
Imaam Kabeer Muhaddis Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin Abdullah
Asfahani 430 Hijri Main Likhte hain:
Tarjuma: " Bheriye ne Kaha is se bhi Ajeeb tar Baat yeh
hai k Ek Aadmi Do (2) Medaanon k Darmiyaan, Waaqiye Nakhlistaan (Madina)
main Beth kar Batla raha hai k Kiya ho chuka hai aur Aaendah kiya hoga"...
(Dalael Un Nabuwwah, Imaam Abu Naeem Asfahaani, Page#337-338, Matboo'a
Ziya Al Qura'an , Publications, Lahore)
Is Hadees ko kisne kisne naqal kiya uske references.
1.Musnad Ahmed 2/306,Hadith:8049
2.Musannaf Abdur Razzaq,11:383,Hadith:20808
3.Musnad Ibn Rahwiya,1/357,Hadith:360
4.Ibn Kaseer,Shumail e Rasool:341
5.Haithmi,Majma az zawaid,8/291
6.Musnad Humaidi,1:277,Hadith:877
7.Baihaqi,Dalail un Nubuwwah,6/41,42,43
8.Asbahani,Dalail un nabuwwah,1:113,Hadith:116
IN TAMAM HADEES SE 2 CHIZEN SAAMNE I HAI :
1)
NABI
SALLALLAHUALAIHIWASALLAM KO MAKAAN WA MAYAKOON KA ILM MILA HAI.
2)
IN HADEES KO GAUR SE PADHE
TOH NABI SALLALLAHUALAIHIWASALLAM NE QAYAMAT HONE KAY BAAD KI BHI KHABAR DI
HAI.
Ab Hum woh Hadees Padhege jaha Sarkar NABI
Sallallahualaihiwasallam ne Qayamat ki Tamam Nishaniya zaahir ki hai.
Hadees # 1
Hazrat Huzefa Radiallataala ahu se riwayat hai kay Huzur
Sallallahualaihiwasallam ne farmaya kay 72 chizen qareeb qayamat kay alamat hai
Jab tum dekho kay :
Ab Nishaniya zaahir hogai Qayamat
toh bacha kya???
Din, Time, Hijri yeh teen NABI Sallallahualaihiwasallam ne bataya ya nahi..aaye Hadees Dekhte hai.
Din, Time, Hijri yeh teen NABI Sallallahualaihiwasallam ne bataya ya nahi..aaye Hadees Dekhte hai.
ﺹ: 359 [ ﻛﺘﺎﺏ ﺍﻟﺠﻤﻌﺔ ﻋﻦ ﺭﺳﻮﻝ
ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﺑﺎﺏ ﻣﺎ ﺟﺎﺀ
ﻓﻲ ﻓﻀﻞ ﻳﻮﻡ ﺍﻟﺠﻤﻌﺔ
488 ﺣﺪﺛﻨﺎ ﻗﺘﻴﺒﺔ ﺣﺪﺛﻨﺎ ﺍﻟﻤﻐﻴﺮﺓ ﺑﻦ ﻋﺒﺪ
ﺍﻟﺮﺣﻤﻦ ﻋﻦ ﺃﺑﻲ ﺍﻟﺰﻧﺎﺩ ﻋﻦ ﺍﻷﻋﺮﺝ ﻋﻦ
ﺃﺑﻲ ﻫﺮﻳﺮﺓ ﺃﻥ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ
ﻭﺳﻠﻢ ﻗﺎﻝ ﺧﻴﺮ ﻳﻮﻡ ﻃﻠﻌﺖ ﻓﻴﻪ ﺍﻟﺸﻤﺲ
ﻳﻮﻡ ﺍﻟﺠﻤﻌﺔ ﻓﻴﻪ ﺧﻠﻖ ﺁﺩﻡ ﻭﻓﻴﻪ ﺃﺩﺧﻞ
ﺍﻟﺠﻨﺔ ﻭﻓﻴﻪ ﺃﺧﺮﺝ ﻣﻨﻬﺎ ﻭﻻ ﺗﻘﻮﻡ ﺍﻟﺴﺎﻋﺔ
ﺇﻻ ﻓﻲ ﻳﻮﻡ ﺍﻟﺠﻤﻌﺔ ﻗﺎﻝ ﻭﻓﻲ ﺍﻟﺒﺎﺏ ﻋﻦ
ﺃﺑﻲ ﻟﺒﺎﺑﺔ ﻭﺳﻠﻤﺎﻥ ﻭﺃﺑﻲ ﺫﺭ ﻭﺳﻌﺪ ﺑﻦ
ﻋﺒﺎﺩﺓ ﻭﺃﻭﺱ ﺑﻦ ﺃﻭﺱ ] ﺹ: 360 [
ﻗﺎﻝ ﺃﺑﻮ ﻋﻴﺴﻰ ﺣﺪﻳﺚ ﺃﺑﻲ ﻫﺮﻳﺮﺓ ﺣﺪﻳﺚ
ﺣﺴﻦ ﺻﺤﻴﺢ
Soraj nikalnay waly dinoon mai Behtareen din Juma ka Din hai Esii Din Hazrat ADAM (Alaihissalam) Paida hoye Eisii Din Aap Hazrat Adam (Alaihissalam) Jinnat sey nikala gaya aur essi din Jannat mein Dhakil kia gaye aur Qayamat bhi juma ke Din ki Qaim hogi
(Tirmizi 472, Darja Hassan Sahi, abwab -ul-Juma, Ravi Abbo Horaira Razi Allah Unho)
Is Hadees saabit hua ki Qayamat JUMA k din hogi....
Is Hadees se Din ka pata chal gaya.
Tarikh Kaunsi Hogi Qayamat ki??
حضرت ابو قتادۃ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ حضور صل اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ میں اللہ سے امید رکھتا ہوں کہ (اس کے نزدیک) عاشورہ کے دن کا روزہ اپنے پہلے (یعنی گزشتہ سال) کا کفارہ کر دے گا۔
(ترمذی شریف جلد اوّل صفحہ 149 شمار 270)
حضرت ابن عباس رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ حضور صل اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جو شخص محرم میں سے عاشورہ کے دن کا روزہ رکھے اسے دس ہزار شہیدوں کا ثواب دیا جاۓ گا اور دس ہزار حج اور عمرہ کرنے والوں کا ثواب دیا جاۓ گا ۔ اور جو کوئی عاشورہ کے دن یتیم کے سر پر ہاتھ پھیرے اللہ تعالی اس کے لیۓ یتیم کے سر کے ہر بال کے عوض اس کا ایک درجہ بہشت میں بلند کرے گا اور جو کوئی عاشورہ کی رات کو ایک مومن کا روزہ کھلواۓ گویا اس نے جناب رسول اللہ صل اللہ علیہ وسلم کی تمام امت کا روزہ کھلوایا اور ان کے پیٹ پر کیے۔ خضرات صحابہ رضی اللہ عنہ نے عرض کیا یا رسول اللہ صل اللہ علیہ وسلم عاشورہ کے دن کو اللہ سبحانہ اے تمام دنوں پر بزرگی دی ۔ آپ صل اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ہاں اللہ سبحانہ اے آسمانوں کو پیدا کیا عاشورہ کے دن، اور زمینوں کو بھی ، اور پہاڑوں کو پیدا کیا عاشورہ کے دن، اور قلم کو پیدا کیا عاشورہ کے دن، اور لوح محفوظ کو پیدا کیا عاشورہ کے دن، اور حضرت آدم علیہ السلام کو پیدا کیا اور عاشورہ کے دن ان کو بہشت میں داخل کیا اور عاشورہ کے دن اور حضرت ابراہیم علیہ السلام پیدا ہوۓ عاشورہ کے دن اور فرعون غرق ہوا اور عاشورہ کے دن اور اللہ تعالی نے حضرت ایوب علیہ السلام سے بلا دور کی اور عاشورہ کے دن اللہ تعالی نے حضرت آدم علیہ السلام کی توبہ قبول کی اور عاشورہ کے دن اللہ سبحانہ نے حضرت داؤد علیہ السلام کی لغزش معاف کی اور عاشورہ کے دن حضرت عیسی علیہ السلام پیدا ہوۓ اور عاشورہ کے دن قیامت کا دن ہو گا۔
(غنیتہ الطالبین صفحہ 26/425 ترتیب شریف 57/756)
is hadees se pata chala ki din ashure ka hoga
Yaani Juma ka din 10 moharram ul haram...
حضرت ابو قتادۃ رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ حضور صل اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ میں اللہ سے امید رکھتا ہوں کہ (اس کے نزدیک) عاشورہ کے دن کا روزہ اپنے پہلے (یعنی گزشتہ سال) کا کفارہ کر دے گا۔
(ترمذی شریف جلد اوّل صفحہ 149 شمار 270)
حضرت ابن عباس رضی اللہ عنہ سے روایت ہے کہ حضور صل اللہ علیہ وسلم نے فرمایا کہ جو شخص محرم میں سے عاشورہ کے دن کا روزہ رکھے اسے دس ہزار شہیدوں کا ثواب دیا جاۓ گا اور دس ہزار حج اور عمرہ کرنے والوں کا ثواب دیا جاۓ گا ۔ اور جو کوئی عاشورہ کے دن یتیم کے سر پر ہاتھ پھیرے اللہ تعالی اس کے لیۓ یتیم کے سر کے ہر بال کے عوض اس کا ایک درجہ بہشت میں بلند کرے گا اور جو کوئی عاشورہ کی رات کو ایک مومن کا روزہ کھلواۓ گویا اس نے جناب رسول اللہ صل اللہ علیہ وسلم کی تمام امت کا روزہ کھلوایا اور ان کے پیٹ پر کیے۔ خضرات صحابہ رضی اللہ عنہ نے عرض کیا یا رسول اللہ صل اللہ علیہ وسلم عاشورہ کے دن کو اللہ سبحانہ اے تمام دنوں پر بزرگی دی ۔ آپ صل اللہ علیہ وسلم نے فرمایا ہاں اللہ سبحانہ اے آسمانوں کو پیدا کیا عاشورہ کے دن، اور زمینوں کو بھی ، اور پہاڑوں کو پیدا کیا عاشورہ کے دن، اور قلم کو پیدا کیا عاشورہ کے دن، اور لوح محفوظ کو پیدا کیا عاشورہ کے دن، اور حضرت آدم علیہ السلام کو پیدا کیا اور عاشورہ کے دن ان کو بہشت میں داخل کیا اور عاشورہ کے دن اور حضرت ابراہیم علیہ السلام پیدا ہوۓ عاشورہ کے دن اور فرعون غرق ہوا اور عاشورہ کے دن اور اللہ تعالی نے حضرت ایوب علیہ السلام سے بلا دور کی اور عاشورہ کے دن اللہ تعالی نے حضرت آدم علیہ السلام کی توبہ قبول کی اور عاشورہ کے دن اللہ سبحانہ نے حضرت داؤد علیہ السلام کی لغزش معاف کی اور عاشورہ کے دن حضرت عیسی علیہ السلام پیدا ہوۓ اور عاشورہ کے دن قیامت کا دن ہو گا۔
(غنیتہ الطالبین صفحہ 26/425 ترتیب شریف 57/756)
is hadees se pata chala ki din ashure ka hoga
Yaani Juma ka din 10 moharram ul haram...
Ab In dono Hadees se Din aur
tarikh Yaani Moharram ul Haram ki 10wi taarikh Hogi aur Juma Ka din hoga yeh
baat bhi clear hogai lekin waqt aur Hijri baaki hai.
Hijri bhi clear hai Ilm walo kay
liye : Jo 72 Nishaniya bata di gai un Nishaniyo’n kay baad hi qayamat hai.
Ab bacha Waqt :
NABI Sallallahualaihiwasallam ne
Waqt Nahi bataya kyukay ALLAH taala ka hukum tha is per.
Daleel
Allama Ahmed Saavi Maliki apni “Tafseer-e-Saavi” Jild 4,
Page # 245 pe Ayat
یسئلونک عن الساعۃ مرسھا
kay tehat farmty hain:
وھذا قبل اعلامہ بوقتھا فلاینا فی انہ صلی اللہ علیہ وسلم لم یخرج من الدنیا حتی اعلمہ اللہ بجمیع مغیبات الدنعا والآخرہ ولکن امر بکتم اشیاء منھا کما تقدم
“Ye Ayat kareema Huzur ko Waqt-e-Qayamat ka Ilm diye janay se pehle ki hai. Lihaza Ayat Kareema ka mazmoon hargiz iss maslak kay khilaf nahi kay Huzur us wakt tak Dunya se tashreef nahi le gye jab tak ALLAH ne Nabi-e-Paak علیہالصلوۃوالسلام ko Dunya aur Akhrat k tamam Ghayoob na bata diye. Lekin un main se baaz ko chupanay ka Hukm Huzur ko dia gaya. Jesa k hamari issi kitab main iss per baar baar tambeeh guzri hai.”
یسئلونک عن الساعۃ مرسھا
kay tehat farmty hain:
وھذا قبل اعلامہ بوقتھا فلاینا فی انہ صلی اللہ علیہ وسلم لم یخرج من الدنیا حتی اعلمہ اللہ بجمیع مغیبات الدنعا والآخرہ ولکن امر بکتم اشیاء منھا کما تقدم
“Ye Ayat kareema Huzur ko Waqt-e-Qayamat ka Ilm diye janay se pehle ki hai. Lihaza Ayat Kareema ka mazmoon hargiz iss maslak kay khilaf nahi kay Huzur us wakt tak Dunya se tashreef nahi le gye jab tak ALLAH ne Nabi-e-Paak علیہالصلوۃوالسلام ko Dunya aur Akhrat k tamam Ghayoob na bata diye. Lekin un main se baaz ko chupanay ka Hukm Huzur ko dia gaya. Jesa k hamari issi kitab main iss per baar baar tambeeh guzri hai.”
Muwahib Lildunya, Jild # 01 Page # 50 per Imam Qustalaani
farmate hain:
وقال بعضھم لیس فی الآیۃ(یسئلونک عن الروح قُلِ الروح مِنْ اَمْرِ رَبِّیۡ) دلاللۃ علٰی ان اللہ تعالٰی لم عطلع نبییہ صلی اللہ علیہ وسلم علی حقیقہ الروح بل یحتمل ان یکون اطعلہ اللہ ولم یامرہ ان یطعلھم وقد قالو فی علم الساعۃ نحو ھذٰا واللہ اعلم
“Aur baaz Ulama ne farmaya k ayat kareema
وَ یَسْـَٔلُوۡنَکَ عَنِ الرُّوۡحِ ؕ قُلِ الرُّوۡحُ مِنْ اَمْرِ رَبِّیۡ
main iss baat pe dalalat nahi k ALLAH ta’ala ne apne Nabi علیہ الصلوۃ والسلام ko rooh ki Haqeeqat per muta’le nahi farmaya bal k ho skta hai k ALLAH ta’ala ne Nabi علیہ الصلوۃ والسلام ko Mtela farmaya aur ap ko iss baat ka amar na farmaya ho k ap dosron ko Mutela farmaein aur Ilm-e-Qayamat k mut’aliq bhi unhon ne aisa hi kaha hai k yaani k ALLAH ta’ala ne Nabi علیہ الصلوۃ والسلام ko Waqat-e-Qayamat ka Ilm de kar uss batanay ka hukm na dia ho”
وقال بعضھم لیس فی الآیۃ(یسئلونک عن الروح قُلِ الروح مِنْ اَمْرِ رَبِّیۡ) دلاللۃ علٰی ان اللہ تعالٰی لم عطلع نبییہ صلی اللہ علیہ وسلم علی حقیقہ الروح بل یحتمل ان یکون اطعلہ اللہ ولم یامرہ ان یطعلھم وقد قالو فی علم الساعۃ نحو ھذٰا واللہ اعلم
“Aur baaz Ulama ne farmaya k ayat kareema
وَ یَسْـَٔلُوۡنَکَ عَنِ الرُّوۡحِ ؕ قُلِ الرُّوۡحُ مِنْ اَمْرِ رَبِّیۡ
main iss baat pe dalalat nahi k ALLAH ta’ala ne apne Nabi علیہ الصلوۃ والسلام ko rooh ki Haqeeqat per muta’le nahi farmaya bal k ho skta hai k ALLAH ta’ala ne Nabi علیہ الصلوۃ والسلام ko Mtela farmaya aur ap ko iss baat ka amar na farmaya ho k ap dosron ko Mutela farmaein aur Ilm-e-Qayamat k mut’aliq bhi unhon ne aisa hi kaha hai k yaani k ALLAH ta’ala ne Nabi علیہ الصلوۃ والسلام ko Waqat-e-Qayamat ka Ilm de kar uss batanay ka hukm na dia ho”
Imam Qurtabi Sharh-e-Muslim aur Imam Qustalani Sharh-e-Bukhari
aur Mulla Ali Qari Sharh-e-Mishkaat ne apne Sharooh main Irqaam farmaya aur
Imam Qurtabi ki Ibarat Imam Badr-du-Din Aini Sharh-e-Sahih Bukhari ne Aini Jild
# 01 Page # 337 per naqal farmaii:
فمن ادعی علم شیء منھا غیر مسند الی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کان کاذبا فی دعواہ
“yaani mugheebat-e-Khamas main se jo koi kisi cheez k Ilm ka dawa karay aur uss ilm ko Nabi-e-Paak علیہالصلوۃوالسلام ki taraf nisbat na karay, wo apnay Daaway main jhoota hai”
فمن ادعی علم شیء منھا غیر مسند الی رسول اللہ صلی اللہ علیہ وسلم کان کاذبا فی دعواہ
“yaani mugheebat-e-Khamas main se jo koi kisi cheez k Ilm ka dawa karay aur uss ilm ko Nabi-e-Paak علیہالصلوۃوالسلام ki taraf nisbat na karay, wo apnay Daaway main jhoota hai”
In Daleelo’n se saabit hua ki ALLAH taala ne NABI Sallallahualaihiwasallam
ko ilm ataa kiya aur saath hi chupane ka hukum bhi diya.
Uloom e khamsa kay liye padhe
Is link me woh tamam Daleel maujud hai hai jisse saabit hai
ki ALLAH taala ne uloom e khamsa yaani 5 chizon ka ilm NABI
Sallallahualaihiwasallam ko ataa kiya.
Imam Kay aqaid Qayamat kay ilm diya
ya nahi.
Imam Qustalani,
"Qayamt kab hoga ? Isko Allah k siwa koi
nhi janta hai magar jis Rasool ko usne pasnd farma lia to use Apne Ghaib jis
Qadr chahta ittila deta hai aur walii uska Tabe hota hai usse hasil krta hai
""" {Sharah sahih bukhari Irshadul sari,7, 186 }
Shah Abdul azeez muhaddith Dehlvi
Apni tafseer me sura jinn ki ghaib wali Ayah k
taluq likhtey hai
""" Jo cheez tamam makhluq ki
ba nisbat Ghayab hai wo Ghaib Mutlaq hai jaise Waquw Qayamat ka Waqt aur bari
Taala k rozana k takweene aur Har shariyat ke sharai ahkam aur bari talla ki
zaat wa sifaat k tafseeli haqaiaq is Qism ko Allah tala ka khas Ghaib kaha gaya
hai pas wo Apne khas ghaib pr kisi ko Mutla nhi karta siwaye us Fard k jise wo
pasand farma leta hai aur fard Rasool hota hai Khwah farishta ho jaise jibrayil
Alaishissalam ya INSAN jaise MOHAMMAD salallahu alai wa Alihi wa sallam ,hazrat
moosa ,hazrat Eisa alaihimussalam use apne Baaz Guyub par mutla farmata hai
"""" { Tafseer azeezi , para 29 , 60, 259 }
Allama Aaloosi
In his book of tafseer "" Aur ye
jayaz hai k Allah tala Ne Apne Habeeb sallallahu alai wa Alihi wa sallam ko
kamil Qayam Qayamat ka waqt par mutla farmaya diya ho lekin is soorat me nhi k
Aap sallallahu alai wa Alihi wa sallam ka ilm ILM ILAHI k muqable me aa jaye
Magar Allah tala ne Aap sallallahu alai wa Alihi wa sallam par uska poshida rakhna
hikmat k pesh nazar wajib qarar diya hai aur ye Aap sallallahu alai wa Alihi wa
sallam ki khususiyat me se hai """ {Tafseer roohul Muani , 21 ,
113 }
Allama shunwani
Jamunahaya me likhtey hai
""""" Beshak Warid hai k Allah tala Nabi e Akram
Sallallahu alai wa Alihi wa sallam ko (duniya se ) ne le gaya jab tak ke Aap
sallallahu alai wa Alihi wa sallam ko har shaiy par mutla na farma
dia"" { Bahawala Khalisul -Aetiqad, 43 }
akhir ye log Shaikh Abdul azeez muhaddith
dehlvi par fatwa q nhi lagate ?
Shaikh Abdul Azeez muhadith dehlvi
"Aap sallallahu alai wa Alihi wa sallam
pe ye ayat me mazkoora panch (5) ashya me se koi shai bhi makhfi na rhi aur Aap
sallallahu alai wa Alihi wa sallam par ye makhfi kaise reh sakti thi
dar-halanki Aap sallallahu alai wa Alihi wa sallam ki ummat k sato qutub inko
jante hai aur unka muqaam Gaus se nichey hai to fir Ghaus ka kya Aalam hoga aur
fir sayyadul Awwaleen wal Aakhireen jo k har shay ki waha takhleeq hai ka Aalam
kya hoga "" { Al-Abrez , Albabul-ashar, 318 }
Allama Ahmed Sawi
“Ulmaye Haq ne kaha hai k Hamare Nabi
sallallahu alai wa Alihi wa sallallam duniya se Tashreef na le gye yaha tak ke
Allah tala ne Aap sallallahu alai wa Alihi wa sallam ko un panch (5) umooe par
mutla na farma diya " {Al-sawi Alaljalalain , 3 , 360 }
Imam Jalaluddin suyuti
On Uloom khamsa " Huzoor Alaihissalam ka
ye farmana "ILLA HUA " Uske mayne ye hai k unko Apne Aap khuda k siwa
koi nhi janta lekin kabhi Allah k batane se jan lete hai q k yaha wo log hai jo
jante hai humne mutaddid ko aisa paya hai jaise humne ek jamat dekha k wo jan
lete hai k kab marege aur jante hai shikam k bache ko " { Imam jalaluddin
suyuti , Rouzunnasheer sharah jame sageer }
Molvee
sarfraaz ghakarvee (Deobandi)
Ahday hazir main deo band k tarjmaan molvee sarfraaz
ghakarvee sahib likhtay hain...... Aur matlab ye hay k jnaab Rasool ay Khudaa
sallo wasalam ko tmaam wo juz ee or kulli aloom hasil ho gay thay jo haq talaa
k nazdeek apki shaan aqdas k laaiq orr munasib thay... (Izaalaa tul raib safa
148)
Hafiz
Ibn Kathir and Muhammad ibn 'Abd al-Wahhab an-Najdi
Suad ibn Qarib ne naath padhi NABI Sallallahualaihiwasallam
ki shaan me aur kaha “ME gawahi deta hu ki ALLAH Ibadat kay layak aur ALLAH
taala ne NABI sallallahualaihwasallam ko tamam uloom e Ghaib ataa kiye”
[Ibn
Kathir, Sirat an-Nabi; and Ibn 'Abd al-Wahhab, Mukhtasar Sirat ar-Rasul, story
of 'Suad ibn Qarib']
Deoband o Wahbi ka Aitraaz aur uske
Jawaab
Aitraaz: Surah Taqweer ki aayat no. 24 me likha hai: Tarjuma:
“Aur yeh NABI Ghaib batane me bakheel nahi”
Bakheel ka maana hai kanjus nahi,woh sab batate hai ummat ko
jo ALLAH ne apne NABI ko bataya fir aap kis base per kehte hai ki ALLAH taala
ne NABI Sallallahualaihiwasallam ko waqt chupane ka hukum diya,isse toh aayat
ki nafi hoti hai jo impossible hai.
Jawaab: Chalo yeh baat clear hogai ki Deoband o wahbi itna
maante hai ki Humara NABI Ghaib batane me bakheel nahi,ab inke aitraaz ka
Jawaab sune: humare NABI Sallallahualaihiwasallam per jo Quran naazil hua woh
sacchi kitab hai aur hidayat hai darr walo kay liye.NABI
Sallallahualaihiwasallam ko waqt chupane ka hukum mila kyukay Quran me Surah
Araf ki aayat no. 187 me ALLAH ne farmaya ki Qayamat Achanak I gi, ab ALLAH
taala ne farmaya ki achanak I gi toh beshak waqt ko chupana mumkin hai warna
humne jo Hadees padhi jisme Din zaahir kardiya gaya ,Taarikh zaahir kardi
gai,Nishaniya bhi zaahir kardi gai aur NABI Sallallahualaihiwasallam apni ummat
ko Qayamat kay baad hone wale waqyat bhi suna rahe hai toh unhe waqt ki khabar
na hogi ???
Aqal walo ko chahiye ki apne NABI ko apne jaisa na samjhe
aur nahi apna bada bhai jaisa,aur aib dhundne se bache warna itne
ullema,muhaddis,mujhtahid,mujaddid ne jo dalail diye hai un per fatwa kya
lagaoge ??
Wallahuaalam
Me niche chand naam batadeta hu jinka Imaan hai ki NABI
Sallallahualaihiwasallam kay paas ilm e Ghaib ataai hai.
1)
ALLAH taala In
Quran shareef jisme ek aayat ki wazeh dalil upar dikhadi.
2) NABI Sallallahualaihiwasallam in Sahi Bukhari (Volume 1,
Book 10,Number 515 )(Vol.4,Book:54,No.414)(Vol 8,Book 77,No.601)(Vol 2,Book
18,No.162)(Vol 1,Book 12,No.709)English version Bukhari references & many
more in 80 Ahadees.
3) Hazrat Abu bakar siddique radiallataala anhu in ZURQAANI
ALAL MAWAHIB 1/239-240
AL RIYADH AL AZAR 15/413
SEERAT E HALBIYA 1/274
KHASAIS AL KUBRA 1/72
TAREEQ E DAMISHQ 2/9
AL RIYADH AL AZAR 15/413
SEERAT E HALBIYA 1/274
KHASAIS AL KUBRA 1/72
TAREEQ E DAMISHQ 2/9
4) Hazrat Umar e Farooq radiallataala anhu. In Sahi Bukhari
shareef.
5) Hazrat Sayyedna Anas radiallataala anhu in Sahih Muslim,
Book 19 (The Book of Jihad and Expedition), Hadith 4394
Sahih Muslim, Kitab Al-Jihad wa'l-Siyar, Vol 9, Page 247, Hadith 3330.
Sahih Muslim, Kitab Al-Jihad wa'l-Siyar, Vol 9, Page 247, Hadith 3330.
6) HAZRAT AAYESHA (Razi ALLAH Anha) in (Mishkaat Ul Musaabeh Baab
Munaaqib Abi Bakar O Umar Ul Fasal Us Saalis, PAGE#560 Matboo'a Qademi, Kutub
Khaana, Karachi)
7) Hazrat Sahl radiallataala anhu in Bukhari, Book 4
(Fighting for the Cause of Allah), Volume 52, Hadith 253
Bukhari, Kitabul Jihad Wal Sayyar, Volume 10, Page 198, Hadith 2787
Bukhari, Kitabul Magazi, Volume 13, Page 110, Hadith 3888
Sahih Muslim, Fazail As-Sahaba, Vol 12, Page 129, Hadith 4420
Sunan Al Tirmidi, Kitabul Manaqib An Rasoolillah, Vol 12, Page 187, Hadith 3658
Sunan Ibne Maja, Kitabal Muqaddima, Vol 1, Page 130, Hadith 114
Bukhari, Kitabul Jihad Wal Sayyar, Volume 10, Page 198, Hadith 2787
Bukhari, Kitabul Magazi, Volume 13, Page 110, Hadith 3888
Sahih Muslim, Fazail As-Sahaba, Vol 12, Page 129, Hadith 4420
Sunan Al Tirmidi, Kitabul Manaqib An Rasoolillah, Vol 12, Page 187, Hadith 3658
Sunan Ibne Maja, Kitabal Muqaddima, Vol 1, Page 130, Hadith 114
8) Hazrat Ibn Thabit radiallataala anhu in Maujam al-Kabir
At-Tibraani, Vol 4, Page 48-50
AlAhad Wal Mathani Vol 9, Page 463
Ma'arafatis Sahaba Li Abi Naeem Isbahani, Vol 6, Page 398
Al-Isti'aab Fi Ma'arfatil Ashaab, Vol 2, Page 137
Simtun Nujoom, Vol 1, Page 150
Al-Waafi Bil Wafyaat, Vol 5, Page 313
Taraakh-e-Damishq, Vol 3, Page 322
Al-Hakim Vol 3, Page 9-10
Al-Isti'ab Vol 4, Page 1958-1962
Dala'il al-Nubuwwa Lil Baheeqi, Vol 1, Page 266
Dala'il al-Nubuwwa Li Abi Naeem Isbahani, Vol 1, Page 276
Sharh Usuli I'tiqadi Ahlas Sunnah, Vol 4, Page 780
Tafseer At-Tibri, Book 102, Vol 2, Page 411
Ibn Habban in al-Thiqat Vol 1, Page 128
Al-Iktifa Vol 1, Page 343
AlAhad Wal Mathani Vol 9, Page 463
Ma'arafatis Sahaba Li Abi Naeem Isbahani, Vol 6, Page 398
Al-Isti'aab Fi Ma'arfatil Ashaab, Vol 2, Page 137
Simtun Nujoom, Vol 1, Page 150
Al-Waafi Bil Wafyaat, Vol 5, Page 313
Taraakh-e-Damishq, Vol 3, Page 322
Al-Hakim Vol 3, Page 9-10
Al-Isti'ab Vol 4, Page 1958-1962
Dala'il al-Nubuwwa Lil Baheeqi, Vol 1, Page 266
Dala'il al-Nubuwwa Li Abi Naeem Isbahani, Vol 1, Page 276
Sharh Usuli I'tiqadi Ahlas Sunnah, Vol 4, Page 780
Tafseer At-Tibri, Book 102, Vol 2, Page 411
Ibn Habban in al-Thiqat Vol 1, Page 128
Al-Iktifa Vol 1, Page 343
9) Hazrat Anas bin malik radiallataala anhu in Sahi Bukhari Vol 1,Book:10,No.515, Vol
1,Book 12,No.709,
10) Hazrat Imran bin hussain radiallataala anhu in Sahi
Bukhari Vol 4 book 54,no.414
11) Hazrat Wabsah Asadi
(Razi ALLAH Anhu) in (Dalael Un Nabuuwah, Page#115, RaqamUL Hadees 119, Matboo'a Daar Ut TAEBAH Riyaaz)
12) Aur b bahut se sahib e kram hai jinka Aqeeda hai ki NABI
sallalalahualaihiwasallam ilm e Ghaib jaante hai.
13) Imam Ismail al Haqqi (rah) in Ruh ul Bayan
14) Imam Khazin (rah) in Tafseer Khazin
15)
Imam
Jalal ud din Suyuti (rah) in (Khasaesul Kubra, JIL#2, PAGE#185, Matboo'a Daarul
Kutub Ilmiya, Beroot)
16) Imaam Muhammad Bin Ahmed Bin Jamee'e Us
Sedaawi 402 Hijri (Majma-E-Sheyookh, PAGE#142, Matboo'a Mosasta Ur
Risaala, Beroot)
17) Imam Baghwi (rah) in Tafseer e Baghwi
18) Imam Saawi (rah) in “Tafseer-e-Saavi” Jild 4, Page # 245
19) Imam Ibn Hajr al Asqalani (Rahimuhullah) says in his Fath ul
Bari
20) Lughat-e-Arab k Imam-ul-Aima Abu Al’Fadal JamaludDin Muhammad
bin Mukaram bin Manzoor Al’Afreeqi al’Misri..apni kitaab “Lisaan-ul-Arab” main
21) Sharh-e-Qamos, Imam-e-Lghat, Muheb-e-Deen, Abul Faiz Syed
Muhammad Murtaza al’Hussaini al’Wasti al’Zubaidi al’Hanafi apni azeemush shaan
Kitab “Tajul Uroos” main
22) Imam Badr ud Din Aini in Aeni Sharah Bukhari. Fatah Ul Baari,
Irshad-Us-Saari.
23) MirQaat Sharah Mishkaat aur sharah Shifa Ul Mulla Qaari O
Zarqaani Sharah Muwaahib, Naseem Ur Riyaaz, Sharah Shifa main.
24) Imaam Abdullah Bin Abdur Rehman Daarmi in Sunan Daarmi
Kitaab Ur Roya, Baab Fi Roiyyah RAB TA'ALA, Fi Nom, JILD#2, PAGE#51, RAQAMUL
HADEES, 2155, Matboo'a Nashar Us Sana, Multan
25) Musnad Imaam Ahmed Bin Hambal in Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE53,
Raqamul Hadees 21399, Matboo'a Mosasta, Qurtuba Misar)
26)
IMAAM Bo Saf Bin Ismail
Nibhani (Rehmatullah Aleh) in (Musnad Ahmed, JILD#5, PAGE#153, Matboo'a Darul
Fikar Beroot)
27)
Imaam Muhammad Bin
Ahmed Bin Jamee'e Us Sedaawi 402 Hijri in (Majma-E-Sheyookh,
PAGE#142, Matboo'a Mosasta Ur Risaala, Beroot)
28) Imaam Abu Daaod 275 Hijri main in Sunan Abu Daaod,
Baab Fil Aseer, Jild#3, Page#58, Raqam Ul Hadees 2681, Matboo'a Dar Ul Fikar,
Beroot
29) ALLAMA YAHYA Bin Sharaf Noo'wi Shaafai 676 Hijri in Sahi
Muslim Ma Noo'wi Kitaab Ul Jihaad Baab Gazwa-E-Badar, Jild#2, Page#102,
Matboo'a Qadeemi Kutub Khaana Karachi)
30) Imaam Abi Ul Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597
Hijri in ( Al Wafa Ba Hawal Ul Mustafa, Baab Us Saani Zikar Aalaam Ul
Hawash, JILD#1, PAGE159, Matboo'a Mustafa Ul Baabi, Misar)
31)
IBN-EJAREER-ABI-HAATIM
in (Jam-E-Ul-Bayaann-Fi-TAFSEER-Ul-Qura'an, Al-Ma'aroof, Tafseer-E-Tibri,
JIL#246, Matboo'a Darul Haya, BEROOT)
32)
Imaam
Abu Abdullah Bin Ismail Bukhaari 256 Hijri in (Sahi Bukhari Kitaab Ul
A'atasaam, JILD# 2, PAGE# 1083, MAtboo'a Qadeemi Kutub Khaana, Karachi)
33) Imam Abdur Razzaak Bin Hamaam San’aani 211 Hijri in (Tafseer-e-Abdur
Razzaak, Jild#1, Page#121-122, Matboo’a Maktaba-tur-Rushd-ul-Riyaz)
34) Imam Fakher ud Deen Raazi 606 Hijri in (Al-Tafseer-e-Kabeer,
Jild#8, Page#57, MAtboo’a Dar ul Fikar Beroot)
35) Imaam Abdullah Bin Abdur Rehman
Daarmi 255 Hijri
in (Sunan Daarmi Kitaab Ur Roya, Baab Fi
Roiyyah RAB TA'ALA, Fi Nom, JILD#2, PAGE#51, RAQAMUL HADEES, 2155, Matboo'a
Nashar Us Sana, Multan)
36) Imam Bukhari in Bukhari shareef
37) Imam Muslim in muslim shareef
38) Imam Abu dawood in Abu dawood shareef
39) Mishkaat Baab Ul Masaajid Bariwaayat Tarmizi in Sunan
tirmizi.
40) Imaam Abdur Rehman Ahmed Bin Shoib Nisaai 303 Hijri in (Sunan
Ul Kubra Ul Nisaai, Jild#1, PPage#657, Raqam Ul Hadees 2169-2168, Matboo'a Daar
Ul Kutub Ul Ilmiyah, Beroot)
(Nisaai
Shareef, Jild#1, Page#287, Mujtaba'i Pakistan, Lahore)
41) Imaam Muhammad Bin Saad 230 Hijri in (Tabqaat Ul
Qubra Ibn-E-SAAD Gazwah E Khaibar, Jild#2, Page#110, Matboo'a Dar us Saadir,
Beroot)
42) Imaam Abdul Maalik Bin Hashaam 213 Hijri in (Al
Seerah Annabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn-E-Hashaam Zikar Ul Muyyassar, JILD#4,
Page#305, Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
43) ALLAMA Abu Abdullah Muhammad Bin Ahmed Maaliki
Qurtubi 668 Hijri in (At Tazkara Fi Ehwaal Al Moti Wa Umoor Takoon
Ben Yadi Us Sa'at, Jild#2, Page#527, Matboo'a Saeediya, Kutub Khana, Sadaf
Plaza Muhalla Jangi Peshawar)
44) Imaam Kabeer Muhaddis Haafiz Hadees Abu Naeem Ahmed Bin
Abdullah Asfahani 430 Hijri in (Dalael Un Nabuwwah, Imaam Abu Naeem
Asfahaani, Page#337-338, Matboo'a Ziya Al Qura'an , Publications, Lahore)
45) Imaam Ismail Bin ul Fazal 535 Hijri ) in (Dalael
Un Nabuuwah, Page#115, RaqamUL Hadees
119, Matboo'a Daar Ut TAEBAH Riyaaz)
46) Imaam Daarmi (RehmatULLAH) in (Sunan Daarmi, Jild#2,
Page#320, RaqamUL Hadees 2533, Daar Ul Kitaab Ul Arbi, Beroot)
47) Imaam Ani Al Farj Abdur Rehmaan Bin Al Jazwi 597 in (Al
Tehqeeq Fi Al hAdees Ul Khilaaf, Jild#2, Page#212, Raqam Ul Hadees 555,
Matboo'a Daar Ul Qutub Ilmiyah Beroot)
48) Imaam Abu Bakar Ahmed Bin Ali Khateeb Baghdaadi 463 Hijri in
(Taareekh-E-Baghdaad, Jild#3, Page#123-124, Matboo'a Dar ul Fiqar Beroot)
49) Imaam Muhib Ud Deen Tinri (RehmatULLAH ALEH) in (Ar Riyaaz
Ul Nazrah Ul Ashrah, Jild#2, Page#28, RaqamUlHadees 435, Matboo'a Daar Ul
Guroob Ul Islaami, Beroot)
50) Imaam Abu Abdullah Muhammad Bin Abdul Wahid Hambali 643 in
(Al Ahaadees Ul Mukhtaar, Jild#2, Page#326, Raqam Ul Hadees 702, Makah
Mukarrama)
51) Imaam Abdul MAalik Bin Hashaam 213 Hijri in (As Seearah Un
Nabuwwah Al Maaroof Seerat Ibn E Hasshaam Gazwah E Asheerah, Jild#3, Page#144,
Matboo'a Daar Ul Jeel, Beroot)
3 comments:
proofs dikh nai rahe
Scan page dikh nahi rahe hai
بھائی سکین کھل کیوں نہیں رہے ہیں
Post a Comment