HAQ Baat part Shahadat e Imam Hussain


Shahadat e Imam Hussain

Hadith number 1


Hazrat Abdullah Bin Wahab bin Zam'ah bayan karty hain k Hazrat umme Salamah (Radi ALLAH Ta'ala Anha) nain mujhy btaya k HUZUR AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) ek raat ko sonay k liay araam farma huay to (Thori dayr bad) baydaar ho gaay jab k AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) paryshaan (say lag rahy) thy. Phir (Dubara) layty aur baghair soay (thori dair) layty rahy aur baydaar ho gaay jab k AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) paryshan thy laykin itny paryshan nahi thy jitnay main nain pehli martaba dykhy thy. Phir Layt gaay aur phir uth bythy jab k AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k dast e Aqdas (hath mubarak) main surkh (red) matti thi jisy AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) ulat palat rahy rhy. To main nain Arz kiya:

YA RUSUL ALLAH, Yeh kysi matti hy?
AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) nain farmaya:

"Mujhy Jibra'il ('Alaihis Salam) nain btaya hay k yeh (mera bayta Husain) Arz e Iraq (Iraq ki sar zameen) par Shaheed kiya jaay ga." 
Main nain Jibra'il ('Alaihis Salam) say kaha:
"Mujhy wo matti dikhao jahan usy shaheed kiya jaat ga. To yeh (mere Hath main) wo matti hy."

References :

From : Haakim
Book : Mustadrak
Volume : 4
Page : 440
Hadith number : 8202

From : Tabrani
Book : Ma'jam Al Kabeer
Volume : 3
Page : 109
Hadith number : 2821

From : Tabrani
Book : Ma'jam Al Kabeer
Volume : 23
Page : 308
Hadith number : 697

From : Shaybaani
Book : Al Ahaad Wal Mathaani
Volume : 1
Page : 310
Hadith number : 429

From : Zahabi
Book : Sayyir A'laam An Nubala
Volume : 3
Page : 289

Imam Haakim nain farmaya:
"yeh Hadith Bukhari aur Muslim ki shart par Sahi hy."

Imam Zahabi nain farmaya:
"Yeh hadith Bukhari aur Muslim ki shart par Sahi hy."
------------------------------------------------------------------------------
Hadith number 2

Hazrat Abdullah Bin Abbas (Radi ALLAH T'ala 'Anhu) bayan farmaty hain k

"Ek din Aadhi raat k waqt main nain HUZUR AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) ko khwab main dykha k AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) Ghubar alood (Yani matti lagi hui thi) aur Uljhay huay baalon k sath khary thy aur AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) ki Dast e Aqdas (hath mubarak) main ek bottle hay jis main khun (blood) hy.

Main nain Arz kiya: Ya RUSUL ALLAH (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) mere maan baap ap par Qurban hon yeh kya cheez hy?

AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) nain farmaya:

"(Mere Bayty) Husain aur us k (Janisaar) saathiyun ka khun hay aur main isy falaan din say jama' kar rha hun."

Rawi e Hadeeth 'Amamr kehty hain k hum nain wo tareekh apny zehan main Mahfooz kar li, bad main pata chal k Hazrat Imam Hussain usi din aur usi tareekh ko Shaheed huay thy. 

From : Ahmad Bin Hambal
Book : Al Musnad
Volume : 1
Page : 283
Hadith number : 2553

From : Tabrani
Book : Ma'jam Al Kabeer
Volume : 3
Page : 110
Hadith number : 2822

From : Khateeb Baghdadi
Book : Tareekh Al Kabeer
Volume : 1
Page : 142

From : Ibn e hajr 'Asqalani
Book : Tahdeeb At Tahdeeb
Volume : 1 & 2
Page : 142 & 306

From : Allama Ibn e Abdul barr Maliki
Book : Al Isti'yab
Volume : 1
Page : 396
------------------------------------------------------------------------------
Hadith number 3

Ummul Momineen Hazrat Umm-e-Salamah (Radi ALLAH TA'ALA Anha) bayan karti hain k

HUZUR AKRAM (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) nain farmaya:

"Husain Bin Ali 'Alahim As Salam ko mere hijrat k saathwain saal (60th year) k ikhtitam (yani end par) shaheed kar diya jaay ga jab un par ek (Obaash) Nojawan charhai kary ga (Yani un say jang kary ga)."

From : Tabrani
Book : Ma'jam Al Kabeer
Volume : 3
Page : 105
Hadith number : 2807

From : Daylami
Book : Musnad Al Firdoos
Volume : 5
Page : 539
Hadith number : 9020

From : Khateeb baghdadi
Book : Tareekh e Baghdad
Volume : 1
Page : 142

From : Haithami
Book : Majma' Az Zawaid
Volume : 9
Page : 190
----------------------------------------------------------
Hadith number 4


Hazrat salmah (Radi ALLAH Ta'ala Anha) farmati hain k main ek martaba umme Salamah (Radi ALLAH Ta'ala Anha) k han gai to wo ro rahi thin,
Main nain pucha k kiyun ro rahi hain?

Unhoun nain farmaya:

"Main nain khwab main AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) ko dykha k AAP (SALLALAHU A'LAIHAY WA ALIHE WASALLAM) k sir mubarak aur dhaadhi mubarak par khaak (Matti) thi,
Main nain pucha to AAP SAW nain farmaya:

"Main Abhi Husain ('Alahis salam) ka Qatal daykh kar aa rha hun."
**************************************************
Sayyidah Salmaa reported that she went to Sayyidah Umm Salamah (RA) and found her weeping. She asked her what made her weep. She said, “I saw Allah’s Messenger (RA) in my dream. There was dust on his head and beard. I asked him, ‘What is wrong with you, 0 Messenger of Allah?’ 
He said, ‘I have just witnessed Husayn’s murder.

From : Tirmidhi
Book : Al Manaqib
Chapter : Manaqib Hasan wal husain A.A
--------------------------------------------------------------------

0 comments:

Post a Comment